Showing posts with label Afsoos shayari. Show all posts
Showing posts with label Afsoos shayari. Show all posts

Thursday, December 28, 2017

Log Muntazir Rahe K Hum Ko Toot'ta Dekhen

Be The First To Comment
Log Muntazir Rahe K Hum Ko Toot'ta Dekhen
Hum Zabt Karte Karte Pathar K Ho Gaye...

Log Muntazir Rahe

Wednesday, December 27, 2017

Aa Kabhi Aa K Dekh

Be The First To Comment
Aa Kabhi Aa K Dekh
Nazara Meri Araamgah Ka...

Aa Kabhi Aa

December Tum Na Jao Na

Be The First To Comment
December Tum Na Jao Na
Abhi Lamhay Nahi Bikhry
Abhi Mosam Nahi Bichry
Mere Kamray Ki Thandak Me
Abhi Kuch Dhoop Baki Hai
Meri Diary K Kuch Safhay
Abhi Kuch Likh Nahi Paye
Mere Angan K Sub Poday
Abhi Bhi Gungunaty Hain
Mere Be-Jaan Honton Par
Abhi Muskan Baki Hai
Kisi K Laut Any Ka
Abhi Imkan Baki Hai
December Bat Ek Sun Lo
Suno Tum Man Jao Na
K Jab Tak Wo Nahi Ata
December Tum Na Jao Na...

December Tum Na

Sunday, December 24, 2017

Zamany Ki To Khair Hai Afsos

Be The First To Comment
Zamany Ki To Khair Hai Afsos
Mere Yar Ne Bhi Mujhe Bura Jana...

Blogger: Waqas Ali

Saturday, December 23, 2017

Mujh Ko Dhoond Leta Hai Nitt Naye Bahany Se

Be The First To Comment
Mujh Ko Dhoond Leta Hai Nitt Naye Bahany Se
Dard Ho Goya Waqif Mere Har Thikany Se...

Submitted By: Zubair Rahi

Thursday, December 21, 2017

Kar Lete Hain Takhleeq Koi Waja-E-Aziyat

Be The First To Comment
Kar Lete Hain Takhleeq Koi Waja-E-Aziyat
Bhaata Nahi Khud Hum Ko Bhi Araam Humara...

Blogger: Waqas Ali

Saturday, December 16, 2017

Kitna Ghafil Hai Mujhe Acha Samjhne Wala

Be The First To Comment
Kitna Ghafil Hai Mujhe Acha Samjhne Wala
Kya Basaye Ga Mujhe Khud Hi Ujarne Wala

Kya Tamasha Hai K Me Us Pe Bigar Betha Hun
Wo Jo Mash-Hoor Hai Logon Me Bigarne Wala

Zinda Rehne Ka Sabab Kya Hai Ye Dil Se Puch
Juzz Tere Or Nahi Koi Dharakne Wala

Naao Doobi Meri Karte Hue Deedar Tera
Or Tera Naam Hi Leta Tha Ubharne Wala

Teri Waja Se Hi Larta Hun Zamany Bhar Se
Me Hun Mash-Hoor Zamany Me Jhagarne Wala

Kesi Ankhein Hain Wo Zalim Ki Samandar Jesi
Kitna Roshan Tera Chehra Hai Chamakne Wala

Tumhe Maloom Hai Kon Likhe Ga Ye Ghazal
Tumhare Ishq Me Bar-Waqt Tarapne Wala...

Blogger: Waqas Ali

Suna Hai Bohat Sasta Hai Khon Wahan Ka

Be The First To Comment
Suna Hai Bohat Sasta Hai Khon Wahan Ka
Aik Basti Jise Log Pakistan Kehte Hain...

Suna Hai Bohat

Friday, December 15, 2017

Bohat Se Gham December Me December K Nahi

Be The First To Comment
Bohat Se Gham December Me December K Nahi Hote
Usy Bhi June Ka Gham Tha, Magar Roya December Me...

Bohat Se Gham

Me Kese Sard Hathon Se Tumhare Gaal Choota Tha

Be The First To Comment
Me Kese Sard Hathon Se Tumhare Gaal Choota Tha
December Me Tumhe Meri Shararat Yaad Aye Gi...

Me Kese Sard

Thursday, December 14, 2017

Munh Phairny Se Pehle Ye To Soch Leti

Be The First To Comment
Munh Phairny Se Pehle Ye To Soch Leti
Aya Tha Tere Pas Kis Kis Ko Taal Kar...

Submitted By: Mohsin Adnan

Sunday, December 10, 2017

Jane Kis Lehjay Me Us Ne Bola Tha

Be The First To Comment
Jane Kis Lehjay Me Us Ne Bola Tha
Mene Hasna Hai Tere Marny Par...

Jane Kis Lehjay

Friday, December 8, 2017

Sada Si Hai Bat Me Likhne Betha Hun

Be The First To Comment
Sada Si Hai Bat Me Likhne Betha Hun
Dil K Sub Halaat Me Likhne Betha Hun

Koi Nahi Hai Sunta Phir Bhi Jane Kiun
Apne Sub Jazbaat Me Likhne Betha Hun

Sath Guzary The Jo Uski Qurbat Me
Beety Wo Lamhaat Me Likhne Betha Hun

Bheegy The Hum Dono Jis Me Jee Bhar K
Wo Mosam-E-Barsaat Me Likhne Betha Hun

Us Ne Mujhe Ko Chora Beech Do-Raahy Par
Kese Hui Maat Me Likhne Betha Hun

Lub Par Mere Aksar Jo Ata Hi Nahi
Naam Wohi Din Rat Me Likhne Betha Hun

Unki Bat Kya Likhni Lafzon Me Sodagar
Apne Hi Khayalaat Me Likhne Betha Hun...

Submitted By: Shehxad

Thursday, December 7, 2017

Aise Khamoshiyon Me Rehti Hai Ab Wo

Be The First To Comment
Aise Khamoshiyon Me Rehti Hai Ab Wo
Apne Hi Lafzon Se Thak Gai Ho Jese...

Aise Khamoshiyon Me

Wednesday, December 6, 2017

Hawas Hoti To Puri Hoti

Be The First To Comment
Hawas Hoti To Puri Hoti
Ishq Tha Adhura Reh Gya...

Blogger: Waqas Ali

Tu Heery Ki Guriya Me Faqeer Ka Bacha

Be The First To Comment
Tu Heery Ki Guriya Me Faqeer Ka Bacha
Tu Mujhe Chah Nahi Sakti Me Tujhe Paa Nahi Sakta...

Submitted By: Awais Bhatti

Monday, December 4, 2017

Tu Mujhe Har Khushi K Moqa Par

Be The First To Comment
Tu Mujhe Har Khushi K Moqa Par
Yaad Aa K Udaas Karta Hai...

Tu Mujhe Har

Sunday, December 3, 2017

Kitna Roya Tha Teri Khatir Main

Be The First To Comment
Kitna Roya Tha Teri Khatir Main
Ab Jo Sochun To Hansi Ati Hai...

Blogger: Waqas Ali

Mujhse Chale Hain Khoon Chirakny K Silsilay

Be The First To Comment
Mujhse Chale Hain Khoon Chirakny K Silsilay
Main Dasht Me Bahaar Ka Pehla Safeer Tha...

Mujhse Chale Hain

Saturday, December 2, 2017

Adhura Harf Hun Aur Dastan Ban'ne Ki Hasrat Hai

Be The First To Comment
Adhura Harf Hun Aur Dastan Ban'ne Ki Hasrat Hai
Magar Mujh Pe, Tawajjah Wo, Fasana-Gar Nahi Karta...

Adhura Harf Hun
 

© 2011 Urdu Poetry Lovers - Designed by Hassan Farooq | Privacy Policy | Sitemap

About Us | Contact Us