Showing posts with label Sad Ghazals. Show all posts
Showing posts with label Sad Ghazals. Show all posts

Monday, December 25, 2017

Kahin be kinar se ratjage

Be The First To Comment
Kahin be kinar se ratjage
Kahin zar nigar se khawab se

Tera kia asool hai zindagi
Tujhe kon iska hisab de

Jo bicha sakon tere waste
Jo saja sakon tere raste

Meri dastras mein sitare rakh
Meri muthiyon mein gulab de

Yeh jo khawishon ka parind hai
Ise mosamon se gharz nahin

Yeh urhe ga apni hi mouj mein
Ise aab de k saraab de

Tujhe chu liya to bharak uthe
Mere jism-o-jaan mein charagh se

Isi aag mein mujhe rakh ker
Isi shoulgi ko shabaab de

Kabhi yun bhi to ho, tere rubaru
Mein nazar mila k yeh keh sakon

Meri hasraton ko shumar ker
Meri khawishon ka hisab de

Teri ik nigah k faiz se
Mere kasht-e-harf chamak uthe

Mera lafz lafz ho kehkashan
Mujhe aik aisi kitaab de

Sunday, December 24, 2017

Kisi ka lams kahan ab nishan chore ga

Be The First To Comment
Kisi ka lams kahan ab nishan chore ga
Chala ke teer wo apni kamaan tore ga

Ho ae shehar se jis ko khof aata hai
Woh kaise gaon ka kacha makaan chore ga 

Hazaar is k paron ko kutar k dekho tum
Parinda fikar kahan ab urran chore ga

Main janti hi nahi thi sadaqaton ka Aameen
Mere khilaf hi jhote bayan chore ga

Main tujh se mil ke bhi bichri hoi rahon gi ab
Ye tera hijr kahan meri jaan chore ga

Ye shiddatein bhi to aksar farab deti hain
Mera janoon hi mujhe benishan chore ga

Tawakouat ka aalam ajeeb tha mujh mein
Kahan tak woh mujhe badguman chore ga

Rubab Dour sahi par yaqeen e muhkam hai
Mujhe kabhi na Woh besaiban chore ga

Saturday, December 16, 2017

Jahan Phoolon Ko Khilna Tha Wahin Khilte To Acha Tha

Be The First To Comment
Jahan Phoolon Ko Khilna Tha Wahin Khilte To Acha Tha
Tum Hi Ko Hum Ne Chaha Tha Tum Hi Milte To Acha Tha

Koi Aa Kar Hamein Pooche Tumhein Kaise Bhulaya Hai
Tumhare Khat Ko Ashkon Se Shab E Gham Mein Jalaya Hai

Hazaron Zakham Aise Hain Agar Silte To Acha Tha
Tum Hi Ko Hum Ne Chaha Tha Tum Hi Milte To Acha Tha

Tumhein Jitna Bhulaya Hai Tumhari Yaad Aayi Hai
Bahar E Noh Jo Aayi Hai Teri Khushbo Bhi Layi Hai

Tumhare Lab Meri Khatir Agar Hilte To Acha Tha
Tum Hi Ko Hum Ne Chaha tha Tum Hi Milte To Acha Tha

Mila Hai Lutf Bhi Hum Ko Haseen Yaadon Ki Jhilmil Mein
Kati Hai Zindagi Tum Bin Magar Ek Aas Hai Dil Mein

Agar Aate To Acha Tha. Agar Milte To Acha Tha
Tum Hi Ko Hum Ne Chaha Tha Tum Hi Milte To Acha Tha

Tuesday, October 31, 2017

Benaam sa ye dard thehar kyon nahin jata

Be The First To Comment
Benaam sa ye dard thehar kyon nahin jata
jo beet gaya hai woh guzar kyon nahi jata

Sab kuch to hai kya dhondhti rehti hain nigahen
kya baat hai main waqat pe ghar kyon nahin jata

Woh ek hi chehra to nahin saare jahaan mein
jo door hai woh dil se utar kyon nahin jata

Main apni hi uljhi hui raahon ka tamaasha
jate hain jidhar sab main udhar kyon nahin jata

Woh khwaab jo barson se na chehra na badan hai
woh khwaab hawaaon mein bikhar kyon nahin jata

Wednesday, October 18, 2017

apna gham bhul gaye teri jafa bhul gaye

Be The First To Comment
apna gham bhul gaye teri jafa bhul gaye
hum to har baat mohabbat k siwa bhul gaye

hum akele hi nahin pyaar ke deewane sanam
aap bhi nazrein jhukane ki ada bhul gaye

ab to socha hain ke daaman hi tera thamenge
haath jab humne uthaye hain dua bhul gaye

shukr samjho ya ise apni shikayat samjho
tumne wo dard diya hain ke dawa bhul gaye

Thursday, October 12, 2017

Zindagi Ko Na Bana Lein Wo Saza Mere Baad

Be The First To Comment
Zindagi Ko Na Bana Lein Wo Saza Mere Baad 
Honsla Dena Unhein Mere Khuda Mere Baad 

Haath Uthe Hue Unke Na Koi Dekhega 
Kis Ke Aane Ki Karenge Wo Dua Mere Baad 

Kon Ghoonghat Ko Uthaye ga Sitamgar Keh Kar 
Aur Phir Kis se Karen ge Woh Haya Mere Baad 

Phir Zamane Mein Mohabbat Ki Na Parastish Hogi 
Royegi Siskiyaan Le Le Ke Wafa Mere Baad 

Wo Jo Kehta Tha Ke Sirf Tere Liye Jeeta Hoon 
Us Ka Kya Janiye Kya Haal Hoga Mere Baad

Wednesday, October 11, 2017

Kia Khazane Meri Jaan HiJar Ki Shab Yaad Aaye

Be The First To Comment
Kia Khazane Meri Jaan HiJar Ki Shab Yaad Aaye
Teri AanKhein Tere Gessu Tere Lab Yaad Aaye

Phool Khilne Ka Jo Musam Mere Dil Mein Uttra
Tere BakhShe Hoye Kuch Zakham Ajab Yaad Aaye

Aik To Tha JiSe Ghurbat Mein Pukara Dil Ne
Warna Bichre Hoye Ahbaab To Sab Yaad Aaye

Ham Ne Mazi Ki Sakhawat Par Jo Pal Bhr Socha
Dukh Bhi Kia Kia Hamein Yaroon K Sabab Yaad Aaye

Bhool Jane Mein Woh Zalim Hai Bala Ka Mahir
Yaad Aane Pe Bhi Aaye To Ghazab Yaad Aaye

Ab To Aankhon Mein Kuch Dhool Hai Beeti Hoi Yadoon Ki
Hum Usay Yaad Bhi Aaye Hain To Kab Yaad Aaye

Saturday, September 30, 2017

Main akela hon mere yaar Khuda khair kare

Be The First To Comment
Main akela hon mere yaar Khuda khair kare
Raasta hai barra dushwar Khuda khair kare

Koi aawaz na logon ki koi aamad o raft
Kitna khamosh hai bazaar Khuda khair kare

Har taraf aik tuahum ki fason kaari hai
Be yaqeni dil e bemaar Khuda khair kare

Bujhne wala na ho tujh mein ye charagh e umeed
Q hai fikar e kam o bisyaar Khuda khair kare

Ab ye dar hai k na phainke kisi saiyare par
Tez hai waqt ki raftaar Khuda khair kare

Naik insan ka bahrop bhara hai main ne
Kitna mushkil hai ye kirdaar Khuda khair kare

Dorrte saaye hawa cheekhti galiyon mein Hanif
Sara manzar hai pur asraar Khuda khair kare

Saturday, April 19, 2014

Kuch Zikar Karo Us Mosam Ka Jab Rim Jhim Raat Raseeli Thi!

Be The First To Comment
kuch zikar karo us mosam ka jab ram jham rat raseeli thi
jab subha ka roop rupehla tha jab sham boht sharmeeli thi
jab phool mehekti rahon per qadmon se gajar baj uthte they
jab tan me sans ke sargam ki her deepak taan sureeli thi
jab khawab sarab jazeeron me khush fehem nazar ghul jati thi
jab piyar pawan ke jhonkon se har yad ki moj nasheeli thi
amrat ki mehek thi baton me nafrat ke sharar thay palkon per
wo hont nehayet meethay they wo aankh boht zehreeli thi
mohsin us sheher me marne ko ab is ke siwa kuch yad nahin
kuch zeher tha sheher ke pani me kuch khak ki rangat neeli thi

More in Mohsin Naqvi


Thursday, December 19, 2013

Thehri Thehri Si Tabiat Mei Rawaani Aai!

Be The First To Comment
Thehri Thehri Si Tabiat Mei Rawaani Aai,
Aaj Phir Yaad Mohabbat Ki Kahani Aai!

Aaj Phir Neend Ko Aankhon Se Bichharte Dekha,
Aaj Phir Yaad Koi Chot Puraani Aai!

Muddaton Baad Chala Un Pe Hamara Jaadu,
Muddaton Baad Humain Baat Banani Aai!

Muddaton Baad Pashemaan Huwa Darya Hum Par,
Muddaton Baad Humain Pyaas Chupaani Aai!

Muddaton Baad Khuli Wusat e Sehra Hum Par,
Muddaton Baad Humain Khaak Uraani Aai!

Itni Asaani Se Milti Nahin Fun Ki Doulat,
Dhal Gai Umr To Ghazalon Pe Jawani Aai!


Saturday, December 14, 2013

Is Dor e Bejunoon Ki Kahani Koi Likho!!

Be The First To Comment
Is dor bejunoon ki kahani koi likho
Jismon ko baraf'khon ko pani koi likho

Koi kaho ke hath qalam kis tarha huey
Kiun ruk gai qalam ki rawani koi likho

Kiun ahl e shoq sar ba gireban hen dosto
Kiun khun ba dil he ahd e jawani koi likho

Kiun surma dar gulu he her ik taair e sukhan
Kiun gulistan qafas ka he sani koi likho

Han taza sanihon ka karey kon intazar
Han dil ki wardat purani koi likho

Read another poetry:
http://softsonnets.blogspot.com/2013/10/jesay-teri-dunya-se-mujhay-kabhi-jana.html





Saturday, November 23, 2013

Her Tamashai Faqt Sahil Se Manzar Dekhta

Be The First To Comment
Her tamashai faqt sahil se manzar dekhta
Kon darya ko ulat ta kon gohar dekhta

Wo to dunya ko meri diwangi khush agai
Tere hathon me wagarna pehla patthar dekhta

Aankh me aansu jurey they per sada tujh ko na di
Is tawaqu per ke shayed to plat kar dekhta

Meri qismat ki lakeeren mere hathon me na thin
Tere mathey per koi mera muqaddar dekhta

Zindagi pheli hui thi sham e hijran ki tarha
Kis ko itna hosla tha kon ji kar dekhta

Doobne wala tha or sahil pe chehron ka hujoom
Pal ki mohlat thi main kis ko aankh bhar kar dekhta

Tu bhi dil ko ak lahu ki boond samjha he Faraz
Aankh agar hoti to qatrey me samandar dekhta



Wednesday, November 20, 2013

Mat Socho!

Be The First To Comment
Aur us ne
Mere saghar me
Mae surkh undeli  to kaha
                    mat socho!

Tum yahan aye ho
Is mulk ke
Is sheher ke
Is hajla e taskeen me jahan
Sab ke sab raqsan kunan
Naghma e balb
Mast ada
mat socho!
Jagti rat
Ke chehre pe he khushbu ki rida
                     mat socho!


Tum bhi kia log ho
Perdais bhi aatey ho
To le aatey ho
Beemar shab o roz o dil e figar
Azizan e watan ki yaden

Apni zholida o bosida qamizon ki tarha
Jin ke dhabbon ko
Khud kar machinen bhi nahin dho saktin

Ye jo zangar hen ghurbat ke
Khud azar jo tarikiyan zehnon ki hen
Aalaishen jismon ki hen
Is tarha sanbhale huey phirtey ho
Ke jese ye tmhare dil o jaan hon
Is ghari tum ho jahan
Mumlikat khawab nahin
Yaan kisi soch ka gurdab nahin
Zindagi mae ki tarha
Shokh he tarrar he zehrab nahin

Apne kashkol ko dehleez per rakh ao
ke dre waza gari
Is jaga shamil e adaab nahin
Mat socho!

Saturday, September 28, 2013

Hawaaen Sard Ho Jaaen ' Ya Lehjay Barf Ho Jaaen

Be The First To Comment
Hawaaen Sard Ho Jaaen
Ya Lehjay Barf Ho Jaaen,

Hum Us Ki Yad Ki Chadar Ko
Khud Pe Taan Letay Hain

Suno Darvaish Logon Ki

Koi Dunya Nahin Hoti

Milay Jo Khaak Rastay Mai
Usi Ko Chhan Letay Hain

Agar Woh Rooth Jata Hay
Hamari Jaan Jaati Hay

Yeh Saansain Jari Rakhnay Ko
Hum Us Ki Maan Letay Hain...!


Read another beautiful poetry
Tum Mangte Phiro Ge



Tuesday, September 24, 2013

Chaho To Theher Jana ' Chaho To Guzar Jana

Be The First To Comment
Avaaragi Mei Hum Ney Isko Bhee Hunar Jaana
Iqraar e Wafa Karna Phir Us Sey Mukar Jaana

Jab Khwaab Nahi Koi, Kya Zindagi Kar Karna Hay
Hr Subah Ko Jee Utthna ' Hr Raat Ko Marr Jana

Shab Bhar Ke Thikaane Ko ' Ik Chhat Ke Sivaa Kya Hay
Kya Waqt Pe Ghar Jana ' Kya Dair Se Ghar Jana

Aesa Na Ho Darya Mey Tum Baar e Giraan Thehro
Jb Logg Ziyada Hon Kashti Se Utar Jana

Suqraat Ke Peene Se Kya Mujh Pe Ayaan Hota
Khud Zeher Piya Mai Ne Tab Uska Asar Jana

Jb Bhi Nazar Aao Gay ' Hum Tum Ko Pukarain Gay
Chaho To Theher Jana ' Chaho To Guzar Jana


You may like:
Urdu Poetry on Khamoshi


Sunday, August 25, 2013

Baat Niklay Gi Tou Phir Dour Talak Jaaye Gi!

Be The First To Comment
Baat Niklay Gi Tou Phir Dour Talak Jaaye Gi
Logg Bewaja Udaasi Ka Sabab Poochen Gay
Yeh Bhee Poochen Gay K Tum Itnay Pareshan Kiu Ho
Ungliyan Uttain Gi Sookhay Howe Baalon Ki Taraf
Ek Nazar Dekhain Gay Guzray Howe Saalon Ki Taraf
Choorion Pe Bhee Kayi Tanzz Kiye Jaayen Gay
Kaanptay Haathon Pay Bhee Fikray Kasay Jaayen Gay
Logg Zaalim Hen Har Ik Baat Pay Taana Dain Gay
Baaton Baaton May Mera Zikr Bhee Ley Aayen Gay
Unki Baaton Ka Zara Saa Bhee Assr Mat Layna
Warna Chehray Kay Taassur Say Samajh Jaayen Gay
Chaahy Kuch Bhee Ho Sawaalat Na Karna Unn Say
Merey Baaray Me Koi Baat Na Karna Unn Say
Kiun Kay...,
Baat Niklay Gi Tou....!

Saturday, July 27, 2013

Hawa Thami Thie Zaroor Lekin

Be The First To Comment
hawaa thami thie zaroor lekin
Wo sham jese sisak rahi thy

k zard patt'on  ko aandhion ne
ajeeb qissa suna diya tha

k jisko sun kar tamam patt'ay
sisak rahe thy bilak rahe thy

jaanay kis saanihay k gham mai
shajar jaron se ukhar chukay  thy

bohut talasha tha hum ne tmko
har aik rasta, har aik waadi
har aik parbat, har aik ghaati

kaheen se teri khabar na aai thie
to keh k hum ne dil ko taala

hawaa thamay gi to dekh laingy
hum uske raston ko dhoond laingy

magar hmari ye khush khyali
jo humko barbad kr gai thie

hawaa thami thie zaroor lekin
bari hi muddat guzar chuki thie

hmaray baalon k janglon main
safaid chandni uttar chuki thie

falak pe taaray nahi rahay thy
ghulab pyaray nahi rahay thy

wo jin se basti thie dil ki basti
wo log saare ni rahay thie

ye almiya sb se baala tar tha
k hum tmhaare nahi rahey thie
k hum tmhaare nahi rahay thie

hawaa thami thie zaroor lekin
bari hi muddat guzar chuki thie

Read:
Poetry Ghazal on Khulus e Dil Se Aari Han Yahan Insan Bohot


Sunday, July 21, 2013

Jo Chaley Tou Jaan Sey Guzarr Gaye..!

Be The First To Comment
Tujhey Kiya Khabar Merey Haal Ki..!
Merey Dar..! Merey Malaal Ki..!

Yey Merey Khayaal Ka Silsilaah..!
Kisi Yaad Sey Hai Milaa Howa..!

Usey Dekhnaa..! Usey Sochnaa..!
Meri Zindagi Ka Hai Faysala..!

Yey Ussi Ki Palkoon Key Saayey Hen..!
Meri Rooh Mey Jo Utarr Gaye..!

Yey Junoon e Manzil e Ishhq Hai..!
Jo Chaley Tou Jaan Sey Guzarr Gaye..!

Mujhey Iss Maqaam Pey Choorna..!
Hai Yey Bewafaai Ki Intehaa..!

Yey Qafass Ho Jesey Khuli Fizaa..!
Yaheen Sukhh Ka Saans Mai Loon Sadaa..!

Jinhen Teri Deed Ki Piyaas Thi..!
Woh Katoray Nainoon Sey Bharr Gaye..!

Yey Junoon e Manzil e Ishhq Hai..!
Jo Chaley Tou Jaan Sey Guzarr Gaye..!


Read Another Urdu Ghazal
Bicharnay Wale Ka Ab Tak


Sunday, June 23, 2013

Suno!! Tum Nay Kabhee Sahil Pay Bikhri Rait Daikhi Hay!! - Samandar Saath Baitha Hy!

Be The First To Comment




















Suno..!
Tum Nay Kabhee
Sahil Pay Bikhrree
Rait Dekhee Hy??

Samandar Saath Baitha Hy
Magar Os Kay Muqadar May
Hamaisha Pyaas Rahti Hy!!


Suno..!
Tum Nay Kabhee
Sahra May Jaltay
Pairr Daikhay Han??

Sabhee Ko Chhaon Daitay Han
Magar Inn Ko Silay May
Dhoop Milti Hy!!


Suno..!
Tum Nay Kabhee
Shaakho Say Bichhartay
Phool Daikhay Han..?

Wo Khushboo Baant Daitay Han
Bichhar Janay Talak Lekin
Hawa Ka Saath Daitay Han!!


Suno..!
Tum Nay Kabhee Mailay May
Bajtay Dholl Daikhay Han??

Ajab Hay Almia In Kaa
Bohot Hee Shorr Kartay Han!!
Magar Andar Say Khaali Hotay Han!!

Yehi Mera Fasanaa Hay!!
Yehi Meri Kahani Hay!!


More in Urdu Poetry
Keep reading: sad poetry at softsonnets.blogspot.com


Image: http://www.flickr.com/photos/jjjohn/2240602720/

Monday, March 4, 2013

Khulus e Dil Say Hen Aari Yhan Insaan Bohot

Be The First To Comment
Khulus e Dil Say Hen Aari Yhan Insaan Bohot,
Yhan Ihsaan Kay Badlay Main Hen Nuqsaan Bohot!

Nafa Bohot Hae Yhan Jhoot Ko Nibhanay Main,
Keh Such Kay Rastay Main Hen Yhan Reh'zaan Bohot!

Junoon Kay Jaal Main Hon Yaa Anaa Kay Pardon Main,
Shaoor e Zeest  Main Lekin Rhay Nadaan Bohot!

Yhan Ihsaas Nahin Hay Wafa Kay Jazbon Ka,
Meri To Jaan Kay Dhar Per Hen Meherbaan Bohot!

Chalo Firaaq e Mohabbat Main Jee Kay Daikh Len Humm,
Wafa Jafa Main Ulajh Kar Rhay Na'Kaam Bohot!

Shaitaan Ko Kah Kay Bura Uskay Kaam Aatay Hen,
Magar Khudaa Pay Bhee Rakhtay Hen Wo Imaan Bohot!

Posted in sad poetry

 

© 2011 Urdu Poetry Lovers - Designed by Hassan Farooq | Privacy Policy | Sitemap

About Us | Contact Us