Showing posts with label Shabeena Adeeb. Show all posts
Showing posts with label Shabeena Adeeb. Show all posts

Friday, November 10, 2017

Teri yaad roshni hai

Be The First To Comment
Teri yaad roshni hai mera dil chamak raha hai
Tere zikar k golon se mera ghar mehak raha hai

Abhi aas hai Tumhari abhi mein mari nahi hoon
Abhi Saans chal rahi hai abhi dil dharak rahai hai

Ussy ye batao Do ghaz hi zameen ka hai wo malik
kai kothiyan bana k jo bohat behek raha hai

Na chal itna sar utha kar ye hayat muktasir hai
Kahin moat ka farishta teri raha tak raha hai

Tumhi aao to bache ga ye diya mohabbaton ka
Jisay tum jala gaye the wo palak jhapak raha hai

Mere Maseeha mein jee uthungi

Be The First To Comment
Mere Maseeha mein jee uthungi duwain de de dawa se pehle
Hayat mein noor ban k aa ja ghamon ki kali ghata se pehle

Wo bewafa ho gaya hai phir bhi ussi ki yadoon mein ghom rahon gi
Ye kaise bholon k usne mujh se wafa bhi ki hai jafa se pehle

Jo chahte hain madad sabhi se zalil hote hain wo jahan mein
Nawazti hai unhi ko duniya jo mangte hain Khuda se pehle

Watan bachane ka waqat hai ye makaan bachane ki fikar choro
Mere bhi hathon mein de do parcham mere bhozorgo hina se pehle

Khatayen mujh se hoi hai lekin mujhe yaqeen hai tu bakhsh de ga
Main hashar k din pokar lon gi tere karam ko saza se pehle

jo hai naseeb mein wo kham nahi nikalta hai

Be The First To Comment
Jo hai naseeb mein wo kham nahi nikalta hai
Hamare dil se tera ghum nahi nikalta hai

Sabhi ki piyas ko aezaz ye nahi milta
Sabhi ki aeri se Zamzam nahi nikalta hai

Kahan hai aa ja k main ab sakoon se marr to sakun
Tere bagair mere dam nahi nikalta hai

Wednesday, November 8, 2017

Meri ummeed mera pyar meri aas raho

Be The First To Comment
Meri ummeed mera pyar meri aas raho
Tum mujhe chor k mat jao mere pas raho

Rozi roti k liye apna watan mat choro
Jis ko seecha hai laho de k wo chaman mat choro

Ja k pardes mein chahat ko taras jao ge
Aesi beloas mohabbat ko taras jao ge

Phool pardes mein chahat ka nahi khilta hai
Eid k din bhi gale koi nahi milta hai

Main kabhi tum se karon gi na koi farmaish
Aesh o aaraam ki jagegi na dil mein khowaish

Fatima bibi ki bandhi hon bharosa rakho
Main tumhare liye jeeti hon bharosa rakho

Lakh dukh dard ho hans hans k guzar kar longi
Peat par band kar pathar bhi basar kar longi

Tum agar jao ge pardes saja kar sapna
Aur jab aao ge chamka k muqadar apna

Mere chere ki chamak khakh mein mil jaye gi
Meri zulfon se ye khushbo bhi nahi aaye gi

Heere aur moti pehen kar bhi na saj paongi
Surq jore mein bhi bewa si nazar aaongi

Dard e furqat ghum e tanhai na seh paongi
Main akeli kisi surat na reh paongi

Mere dhaman k liye bagh mein kante na chuno
Tum ne jane ki agar thanli dil mein to suno

Apne hanthon se mujhe zeher pila kar jana
Meri mitti ko bhi mitti mein mila kar jana

Tuesday, November 7, 2017

Na Miti Thi Na Miti Hai Na Mitegi URDU

Be The First To Comment
Na Miti Thi Na Miti Hai Na Mite gi URDU
Chahne Walon Ke Honton Pe Rahegi URDU

Ye Zaban Wo Hai Jo Mahlon Mein Rahi Aan Ke Sath
Aur Mazdoor Ke Ghar Mein Bhi Rahi Shaan Ke Sath

ISHQ Ki Raah Ko Isne Kayi Raahi Bhi Diye
Sarhadon Ke Liye Jaanbaz Sipahi Bhi Diye

Jazba e Jung Ko Seenon Mein Jagaya Isne
Apne Bharat Ko Ghulami Se Chhraya Isne

Ye Zaban Jaise Usoolon Ki Zaban Lagti Hai
Aesi Dilkash Hai K Phoolon Ki Zaban Lagti Hai

Iske Nazdeek Na Hindu Na Musalman Koi
Jisne Apnaya Ise Pyar Se Uski Ye Hui

Ye Taassub Ke Andheron Ko Mita Deti Hai
Aandhiyon Mein Bhi Chiragh Apna Jala Deti Hai

Ja Ke Shaikh Ki Dahleez PaFan Ban Jaye
Poche Mandir Mein To Meera Ka Bhajan Ban Jaye

Ye To Hai Pyar Ki Pooja Ki Ebadat Ki Zaban
Ye To Hai Rooh Ki Dharkan Ki Mohabbat Ki Zaban

Is Zaban Ke Liye Seenon Mein Adawat Na Bharo
Ye Zaban Pyar Sikhati Hai Ise Pyar Karo

Is mein Hindi Ke Bhi Alfaz Hain Irani Bhi
Is mein Geeta Ke Bhi Alfaz Hain Quraani Bhi

Kon Kehta Hai Arab Se Ye Zaban Aayi Hai
Aur Is Desh Mein Gairon Ki Zaban Chhai Hai

Yahin Janmi Hai Yahin Isne Jawani Payi
Ganga Aur Jamna Ki Lahro Se Rawani Payi

Jis Tarah Bhi Rahe Isko To Yahin Rahna Hai
Hum ko URDU Ke Hareefon Se Yahi Kehna Hai

Apni Tahzeeb Ko Sansar Mein Ruswa Na Karo
Yani URDU Ko Mitane Ka Iradah Na Karo

Apni Pagri Ko Uchala Nahi Jata Logo
Ghar Se Beti Ko Nikala Nahi Jata Logo

Saturday, November 4, 2017

Kabhi jo Deta tha jaan mujh par

Be The First To Comment
Kabhi jo Deta tha jaan mujh par
Usi k dil mein khatak rahi hoon

Zamana bhatka hai teergi mein
Main roshni mein bhatak rahi hoon

Hamesha ek doosre k haq mein

Be The First To Comment
Hamesha ek doosre k haq mein Dua karege ye tay howa tha
Milein k bichrein magar tumhi se wafa karenge ye tay howa tha

Kahin raho tum kahin rahein hum magar muhabbat rahegi qayam
Jo ye khata hai to umar bhar ye khata karenge ye tay howa tha

Udasiyan har ghari hon lekin hayat katon bhari ho lekin
Khatoot pholoon ki patiyon par likha karenge ye tay howa tha

Jahan mukaddar milaye ga ab wahan milege ye shart kaisi
Jahan mile the wahi hamesa mila karen ge ye tay howa tha

Lipat k ro lege jab milege gham apna apna bayan karege
Magar zamane se muskura kar mila karenge ye tay howa tha

Kisi k aanchal mein kho gaye tum batao kyun door ho gaye tum
K jaan dekar bhi haq wafa ka Ada karenge ye tay howa tha

Wednesday, November 1, 2017

Adalat se bache lekin Khuda se bach nahi sakta

Be The First To Comment
Adalat se bache lekin Khuda se bach nahi sakta
Koi gustakh e paigambar Saza se bach nahi sakta

Farishta Moat ka eik roz usko dhoond hi le ga
Kahin bhi ja k chop jaye Qaza se bach nahi sakta

Khamosh lab hain jhuki hain palkeen

Be The First To Comment
Khamosh lab hain jhuki hain palkeen
dilon mein ulfat nayi nayi hai 
Abhi takalluf hai guftgoo mein 
abhi mohobat nayi nayi hai 

Abhi na aayegi nennd tum ko 
abhi na hum ko sukon mile ga 
abhi to dharke ka dil zeyada 
abhi ye chahat nayi nayi hai 

Bahar ka aaj pahla din hai 
chalo chaman mein tehl k aayen 
faza mein khushbo nayi nayi hai 
gulon pe rangat nayi nayi hai 

Jo khandani raees hain wo 
mizaaj rakhte hain narm apna 
tumhara lehja bata raha hai 
tumhari dolat nayi nayi hai 

zara sa Qudarat ne kya nawaza 
aa k baithy ho pehli saff mein 
abhi se urrny lagy hawa mein 
abhi to shohrat nayi nayi hai
 

© 2011 Urdu Poetry Lovers - Designed by Hassan Farooq | Privacy Policy | Sitemap

About Us | Contact Us