Wednesday, November 8, 2017

Meri ummeed mera pyar meri aas raho

Meri ummeed mera pyar meri aas raho
Tum mujhe chor k mat jao mere pas raho

Rozi roti k liye apna watan mat choro
Jis ko seecha hai laho de k wo chaman mat choro

Ja k pardes mein chahat ko taras jao ge
Aesi beloas mohabbat ko taras jao ge

Phool pardes mein chahat ka nahi khilta hai
Eid k din bhi gale koi nahi milta hai

Main kabhi tum se karon gi na koi farmaish
Aesh o aaraam ki jagegi na dil mein khowaish

Fatima bibi ki bandhi hon bharosa rakho
Main tumhare liye jeeti hon bharosa rakho

Lakh dukh dard ho hans hans k guzar kar longi
Peat par band kar pathar bhi basar kar longi

Tum agar jao ge pardes saja kar sapna
Aur jab aao ge chamka k muqadar apna

Mere chere ki chamak khakh mein mil jaye gi
Meri zulfon se ye khushbo bhi nahi aaye gi

Heere aur moti pehen kar bhi na saj paongi
Surq jore mein bhi bewa si nazar aaongi

Dard e furqat ghum e tanhai na seh paongi
Main akeli kisi surat na reh paongi

Mere dhaman k liye bagh mein kante na chuno
Tum ne jane ki agar thanli dil mein to suno

Apne hanthon se mujhe zeher pila kar jana
Meri mitti ko bhi mitti mein mila kar jana

Shabeena Adeeb

0 comments:

Post a Comment

 

© 2011 Urdu Poetry Lovers - Designed by Hassan Farooq | Privacy Policy | Sitemap

About Us | Contact Us