Showing posts with label Mohsin Naqvi. Show all posts
Showing posts with label Mohsin Naqvi. Show all posts
Tuesday, December 26, 2017
Tuesday, December 19, 2017
Saturday, December 2, 2017
Hum Ko Maloom Hai Anjam Humara Murshad
Hum Ko Maloom Hai Anjam Humara Murshad
Is Samandar Ka Nahi Koi Kinara Murshad
Hum Hi Aye Ishq Tere Paun Pary The Aa Kar
Dosh Ab Is Me Nahi Koi Tumhara Murshad
Ab To Jo Kuch Hai Shab-E-Hijr Tere Hath Me Hai
Khak Kar De Ya Bana De Mujhe Taara Murshad
Me Agar Dasht Nahi Dasht Numa Ban Jaun
Is Se Kam Par Nahi Hona Guzara Murshad
Dasht Ki Khaak Urany Pe Hua Hun Mamoor
Koi Tambeeh Mujhe, Koi Ishara Murshad
Yehi Kafi Hai Tera Hijr Nazar Ata Hai
Is Ki Tadfeen Nahi Hum Ko Ganwara Murshad
Aj Samjha Hun Mohabbat Ki Kahani Mohsin
Aj Samjha Hun Kise Kehte Hain Khasara Murshad...
Monday, November 6, 2017
Mere Qatil Ko Pukaro K Main Zinda Hon Abhi
Mere Qatil Ko Pukaro K Main Zinda Hon Abhi
Phir Se Maqtal Ko Sanwaro K Main Zinda Hon Abhi
Ye Shab e Hijar To Sathi Hai Meri Barson Se
Jao So Jao Sitaro K Main Zinda Hon Abhi
Ye Preshan Se Gaisu Dekhe Nahi Jate
Apni Zulfon Ko Sanwaro K Main Zinda Hon Abhi
Lakh Mojon Mein Ghera Hon Abhi Dooba To Nahi
Mujh Ko Sahil Se Pukaro K Main Zinda Hon Abhi
Qabar Se Aaj Bhi MOHSIN Ki Aati Hai Sada
Tum Kahan Ho Mere Yaro K Main Zinda Hon Abhi
Tuesday, October 31, 2017
Wednesday, October 18, 2017
Khushk Honton Se Hua Karti Hain Meethi
Khushk Honton Se Hua Karti Hain Meethi Batain 'Mohsin'
Piyaas Bujh Jaye to Lehje Bhi Badal Jaty Hain...
Blogger: Waqas Ali
Blogger: Waqas Ali
Humare Baad Bhi Rounaq Rahegi Maqtal Mein
Mata e Shaam e Safar Bastiyon Mein Chhor Aaye
Bujhe Charaagh Hum Apne Gharon Mein Chhor Aaye
Ghire Hain Lashkar e Aada Mein Ab Ye Sochte Hain
Hum Apne Teer Toh Apni Safoon Mein Chhor Aaye
Hum Apni Darbadari Ke Mushahidey Aksar
Naseehaton Ki Tarah Kamsino Mein Chhor Aaye
Bichhar Ke Tujh se Chale Hum Toh Ab Ke Youn Bhi Hua
Ki Teri Yaad Kahin Raaston Mein Chhor Aaye
Hawa Hi Din Mein Parinde Udaaye Phirti Hai
Hawa Hi Phir Se Unhen Ghonslon Mein Chhor Aaye
Humare Baad Bhi Rounaq Rahegi Maqtal Mein
Hum Ahl e Dil Ko Bare Hoslon Mein Chhor Aaye
Urenge Kya Woh Parinde Jo Apne Rizq Samait
Safar Ka Shauq Bhi Toote Paron Mein Chhor Aaye
Sada Sukhi Rahein Chehre Woh Hum Jinhe Mohsin
Bujhe Gharon ki Khuli Khirkiyon Mein Chhor Aaye
Buhat Aziz Tha Shayad Wo Iss Liye Mohsin
Biyaan Har Kisi Se Hijr o Wisal Karte Ho
Kyun Apne Sheher Mein Jina Muhaal Karte Ho
Bichar K Bhala Mile Hain Musafir Bhi
Kyun Apne Ap Ko Yun Hi Nidhal Karte Ho
Suna Hai Wo Bhi Tumhe Pochta Hai Asey Hi
Tum Us K Bare Mein Jase Sawal Karte Ho
Wo Aashnai Usey Yaad Hi Naa Ho Shayad
Wo Jis K Naam Pe Sab Mah o Saal Karte Ho
Buhat Aziz Tha Shayad Wo Iss Liye Mohsin
Bicharne Wale Ka Ab Tak Milal Karte Ho
Rutha To Shehar e Khwab Ko Gharat Bhi Kar Gaya
Rutha To Shehar e Khwab Ko Gharat Bhi Kar Gaya
Phr Muskara K Taza Sharrarat Bhi Kar Gaya
Shayad Ussay Aziz Thin Aankhain Meri Buhat
Wo Mere Naam Apni Bassarat Bhi Kar Gaya
Mun Zoor Aandhiyon Ki Hathaile Pe Ik Charagh
Paida Mere Lahu Mein Harrarat Bhi Kar Gaya
Bosida Badban Ka Tukra Hawa K Sath
Tofaan Mein Kashtiyon Ki Safarish Bhi Kar Gaya
Dil Ka Nagar Ujarnay Wala Huner Shanas
Tameer Hoslon Ki Amarat Bhi Kar Gaya
Sab Ahl e Shehar Uthatay Thy Jis Pe Ungliyan
Wo Shehar Bhar Ko Waja e Zayarat Bhi Kar Gaya
Mohsin Ye Dil K Us Se Bicharta Na Tha Kabhi
Aaj Us Ko Bholnay Ki Jissarat Bhi Kar Gaya
Tuesday, October 3, 2017
Ek Chehra Jo Mere Khwaab Sajaa Deta Hai
Ek Chehra Jo Mere Khwaab Sajaa Deta Hai
Mujh Ko Mere Hi Khayalon Mein Sadaa Deta Hai
Wo Mera Kon Hai Maloom Nahi Hai Lekin
Jub Bhi Milta Hai To Pehlu Mein Jaga Deta Hai
Main Jo Andar Se Kabhi Toot Ke Bikhron
Wo Mujh Ko Thamne K Liye Hath Barha Deta Hai
Main Jo Tanha Kabhi Chupkay Se Bhi Rona Chahon
To Dil Ke Darwaze Ki Zanjeer Hila Deta Hai
us Ki Qurbat Mein Hai Kya Baat Na Jaanay
Ek Lamhay K Lye Sadiyon Ko Bhula Deta Hai
??? ???? ?? ???? ???? ??? ???? ??
??? ?? ???? ?? ?????? ??? ??? ???? ??
?? ???? ??? ?? ????? ???? ?? ????
?? ??? ???? ?? ?? ???? ??? ??? ???? ??
??? ?? ???? ?? ???? ??? ?? ??????
?? ???? ?????? ?? ??? ???? ???? ???? ??
??? ?? ???? ???? ???? ?? ??? ???? ?????
?? ?? ?? ?????? ?? ????? ??? ???? ??
?? ?? ???? ??? ?? ??? ??? ?? ???? ????
??? ???? ?? ??? ????? ?? ???? ???? ??
Sunday, December 21, 2014
2 lines Poetry By Mohsin Naqvi
![]() |
2 lines Poetry By Mohsin Naqvi |
2 lines Short Poetry By Mohsin Naqvi
More On This Blog:-
2 Lines Urdu Poetry, Best Urdu Poetry, Sad Urdu Poetry, Romantic Urdu Poetry, Urdu Love Poetry,Urdu Ghazal,Urdu poetry Images,Urdu poetry By All Urdu Poets.
Sunday, September 21, 2014
Sunday, December 8, 2013
Meri Baat Mano Mohsin Tum
Friday, December 6, 2013
Milla To Aor Bhi Taqseem kar Giya
Thursday, November 28, 2013
Dil Youn Dharka Keh Pareshan Hua
Roman Urdu ???? ????
Dill Youn Dharka Keh Pareshan Hua Ho Jaisey
Koi Bedhiyani Mein Nuqsaan Hua Ho Jaisey
Rukh Badlta Hoon To Shah Ragg Mein Chubhan Hoti Hai
Ishq Bhi Jang Kaa Maidaan Hua Ho Jaise
Jism Youn Lams e Rafaqat Kay Assar Sey Nikkla
Doosrey Dour Kaa Saaman Hua Ho Jaisey
Dill Nay Youn Phir Mere Seeney Mein Faqeeri Rakh Di
Toot Kar Khood Hee Pasheymaan Hua Ho Jaisey
Thaam Kar Hath Mera Aisey Wo Roya Mohsin
Koi Kaafir Sey Muslimaan Hua Ho Jaisey
Urdu ????
?? ??? ????? ?? ?????? ??? ?? ????
???? ?? ?????? ??? ????? ??? ?? ????
?? ????? ??? ?? ?? ?? ??? ???? ???? ??
??? ??? ??? ?? ????? ??? ?? ????
??? ??? ???? ????? ?? ??? ?? ????
????? ??? ?? ????? ??? ?? ????
?? ?? ??? ???? ???? ???? ??? ????? ??? ??
??? ?? ??? ?? ?????? ??? ?? ????
???? ?? ???? ???? ???? ?? ???? ????
???? ???? ?? ?????? ??? ?? ????
Subscribe to:
Posts (Atom)