|
Rutha To Shehar e Khwab Ko Gharat Bhi Kar Gaya
Phr Muskara K Taza Sharrarat Bhi Kar Gaya
Shayad Ussay Aziz Thin Aankhain Meri Buhat
Wo Mere Naam Apni Bassarat Bhi Kar Gaya
Mun Zoor Aandhiyon Ki Hathaile Pe Ik Charagh
Paida Mere Lahu Mein Harrarat Bhi Kar Gaya
Bosida Badban Ka Tukra Hawa K Sath
Tofaan Mein Kashtiyon Ki Safarish Bhi Kar Gaya
Dil Ka Nagar Ujarnay Wala Huner Shanas
Tameer Hoslon Ki Amarat Bhi Kar Gaya
Sab Ahl e Shehar Uthatay Thy Jis Pe Ungliyan
Wo Shehar Bhar Ko Waja e Zayarat Bhi Kar Gaya
Mohsin Ye Dil K Us Se Bicharta Na Tha Kabhi
Aaj Us Ko Bholnay Ki Jissarat Bhi Kar Gaya
0 comments:
Post a Comment