Showing posts with label Jaun Elia Poetry. Show all posts
Showing posts with label Jaun Elia Poetry. Show all posts

Sunday, December 24, 2017

Apne sab yaar kaam kar rahe hain

Be The First To Comment
Apne sab yaar kaam kar rahe hain
Aur hum hain ke naam kar rahe hain

Tegh-baazi ka shauq apni jagah
Aap to qatl-e-aam kar rahe hain

Daad-o-tehseen ka yeh shor hai kyun
Hum to khud se kalaam kar rahe hain

Hum hain masroof-e-intizaam magar
Jaane kya intizaam kar rahe hain

Hai woh bechaargi ka haal ke hum
Har kisi ko salaam kar rahe hain

Aik qataala chahiye hum ko
Hum yeh elaan-e-aam kar rahe hain

Na uthe aah ka dhuaan bhi ke woh
Ku-e-dil main khiraam kar rahe hain

Us ke honton pe rakh ke hont apne
Baat hi hum tamaam kar rahe hain

Hum ajab hain ke us ke kuchay main
Be-sabab dhoom-dhaam kar rahe hain

Akhri bar mil rahi ho kya

Be The First To Comment
Gahe gahe bas ab yehi ho kya
Tum se mil kar bahot khushi ho kya

Mil rahi ho bary tapak ke sath
Mujh ko yaksar bhula chuki ho kya

Yaad hein ab bhi apne khawab tumhen
Mujh se mil kar udaas ho kya

Bas mujhe yon hi khyal aaya
Sochti ho to sochti ho kya

Ab meri koi zindagi hi nahin
Ab bhi tum meri zindagi ho kya

Kya kaha ishq javidani hai
Akhri bar mil rahi ho kya

Mery sab tanz be asar hi rahe
Tum bahot door ja chuki ho kya

Dil mein soz-e-intezar nahin
Sham-e-ummeed bujh gai ho kya

Haalat-E-Haal Ke Sabab, Haalat-E-Haal Hi Gayi

Be The First To Comment
Haalat-E-Haal Ke Sabab, Haalat-E-Haal Hi Gayi
Shauq Mein Kuch Nahin Gaya. Shauq Ki Zindagi Gayi

Tera Firaaq Jaan-E-Jaan, Aish Tha Kya Mere Liye
Yani Tere Firaaq Mein, Khoob Sharaab Pee Gayi

Tere Wisaal Ke Liye, Apne Kamaal Ke Liye
Haalat-E-Dil Ke! Thi Kharaab, Aur Kharaab Ki Gayi

Ek Hi Haadisa To Hai, Aur Woh Yeh Ke Aaj Tak
Baat Nahin Kahi Gayi, Baat Nahin Suni Gayi

Bad Bhi Tere Jaan-E-Jaan, Dil Mein Raha Ajab Samaan
Yaad Rahi Teri Yahaan, Phir Teri Yaad Bhi Gayi

Us Ke Badan Ko Dee Numoo, Hum Ne Sukhan Mein Aur Phir
Us Ke Badan Ke Waaste, Ek Qaba Bhi See Gayi

Meena-Ba-Meena, Mai-Ba-Mai, Jam-Ba-Jaam
Naaf Peyaale Ki Tere, Yaad Ajab Sahi Gayi

Kehni Hai Mujh Ko Ek Baat, Aap Se, Ya�ni Aap Se
Aap Ke Shehr-E-Wasl Mein, Lazzat-E-Hijr Bhi Gayi

Sehn-E-Khayaal-E-Yaar Mein, Ki Na Basar Shab-E-Firaaq
Jab Se Woh Chaand Na Gaya, Jab Sey Woh Chaandni Gayi

Tumhara Hijar Mana Lon Agar Ijazat Ho

Be The First To Comment
Tumhara Hijar Mana Lon Agar Ijazat Ho
Mein Dil Kisi Se Laga Lon Agar Ijazat Ho

Tumhare Bad Bhala Kia Hai Wada-O-Paiman
Bas Apna Waqt Ganwa Lon Agar Ijazat Ho

Tumhari Hijar Ki Shab HayeKar Mein Jana
Koi Charagh Jala Lon Agar Ijazat Ho

Janoon Wohi Hai Wohi Main Magar Hai Shehr Niya
Yahan Bhi Shoor Macha Lon Agar Ijazat Ho

Kaisi Hai Khawahish Marham Gire K Magar Phir Bhi
Main Apne Zakham Dekha Lon Agar Ijazat Ho

Tumhari Yaad Mein Jeene Ki Aarzo Hai Abhi
Kuch Apna Haal Sanbhalon Agar Ijazat Ho

Zabt kar ke hansi ko bhool geya

Be The First To Comment
Zabt kar ke hansi ko bhool geya
Main to us zakhm hi ko bhool geya
Zaat-dar-zaat hamsafar reh kar
Ajnabi ajnabi ko bhool geya

Subh tak vajh-e-jaan-kani thi jo baat
Main usay shaam hi ko bhool geya
Ehd-e-vabastagi guzaar ke main
Vajh-e-wabastagi ko bhool geya

Sab daleelen to mujhe ko yaad rahin
Behss kya thi ussi ko bhool geya
Kyun na ho naaz is zehaanat par
Ek main har kisi ko bhool geya

Sab se pur-amn waqiya hai yeh
Aadmi aadmi ko bhool geya
Qehqaha maarte hi deewana
Har gham-e-zindagi ko bhool geya

Kya qayamat hui agar aik shakhs
Apni khush-qismati ko bhool geya
Sab buray mujh ko yaad rehte hain
Jo bhalaa tha usi ko bhool geya

Us se waada to kar liya lekin
Apni kam-fursati ko bhool geya
Bastiyo ab to rasta dedo
Ab to main us gali ko bhool geya

Us ne goya mujhi ko yaad rakha
Main bhi goya usi ko bhool geya
Yaani tum woh ho waqeyi. Hadh hai
Main to sach-much sabhi ko bhool geya

Ab to har baat yaad rehti hai
Ghaliban main kisi ko bhool geya
Us ki khushiyon se jalne wala Jaun
Apni Eza-dahi ko bhool geya

Koi Halat Nahi Ye Halat Hai

Be The First To Comment
Koi Halat Nahi Ye Halat Hai
Ye To Ashob Nak Soorat Hai
Anjuman Mein Ye Meri Khamoshi
Burdbar Nahi Hai Wehshat Hai

Tanz Peraya Tabassum Mein
Is Takalluf Ki Kya Zarurat Hai
Tujh Se Ye Gah Gah Ka Shikwa
Jab Talak Hai Basa Ghanimat Hai

Garam Joshi Or Is Qadar Kya Baat
Kyt Tumhen Mujh Se Kuch Shikayat Hai
Tu Bhi Ae Shakhs Kya Kare Aakhir
Mujh Ko Sar Phorne Ki Adat Hai

Ab Nikal Aao Apne Andar Se
Ghar Mein Saman Ki Zarurat Hai
Hum Ne Jana To Hum Ne Ye Jana
Jo Nahi Hai Wo Khubsoorat Hai

Khwahishen Dil Ka Saath Chor Gayin
Ye Aziyat Bari Aziyat Hai
Log Masroof Jante Hain Mujhe
Yaan Mera Gham Hi Meri Fursat Hai

Aaj Ka Din Bhi Aesh Se Guzra
Sar Se Paa Tak Badan Salamat Hai

Zindagi kis tarha basar hogi

Be The First To Comment
Sar hi ab phoriye nadamat mein
Neend aane lagi hai furqat mein

Hain daleelen teray khilaaf magar
sochta hun teri himayat mein

Rooh ne ishq ka fareeb diya
jism ko jism ki adawat mein

Ishq ko darmyaan na laao ke mein
Cheekhta hun badan ki usrat mein

Ab faqat aadaton ki warzish hai
Rooh shaamil nahi shikayat mein

Apne hujray ka kya bayaaN ke yahan
khoon thooka gaya shararat mein

Woh khala hai ke sochta hun mein
Us se kya guftugoo ho khalwat mein

Yeh kuchh asaan to Nahin hai ke hum
RooThty ab bhi hain murawat mein

Woh jo taameer hony wali thi
Lag gai aag us imarat mein

Zindagi kis tarha basar hogi
Dil Nahi lag Raha Mohabbat mein

Umar Guzregi Imtihan Mein Kya

Be The First To Comment
Umar Guzregi Imtihan Mein Kya
Daagh Hi Denge Mujh Ko Daan Mein Kya

Meri Har Baat Be Asar Hi Rahi
Nuqs Hai Kuch Mere Bayan Mein Kya

Mujh Ko To Koi Tokta Bhi Nahin
Yehi Hota Hai Khandan Mein Kya

Apni Mehroomiyan Chupate Hain
Hum Gharibon Ki Aan Ban Mein Kya

Khud Ko Jana Juda Zamane Se
Agaya Tha Mere Gumaan Mein Kya

Yoon Jo Takta Hai Aasman Ko Tu
Koi Rehta Hai Aasman Mein Kya

Hai Naseem e Bahar Gard Alood
Khak Urti Hai Us Makan Mein Kya

Ye Mujhe Chen Kyun Nahi Parta
Ek Hi Shakhs Tha Jahan Mein Kya

Sham Hi Se Dukan e Deed Hai Band
Nahin Nuqsan Tak Dukan Mein Kya

Ae Mere Subah o Sham Dil Ki Shafaq
Tu Nahati Hai Ab Bhi Baan Mein Kya

Bolte Kyun Nahi Mere Haq Mein
Aable Par Gaye Zaban Mein Kya

Khamoshi Keh Rahi Hai Kaan Mein Kya
Araha Hai Mere Gumaan Mein Kya

Dil Ko Aate Hain Jis Ke Dhiyaan Boht
Khud Bhi Aata Hai Apne Dhiyaan Mein Kya

Wo Mile To Ye Puchna Hai Mujhe
Ab Bhi Hun Main Teri Amaan Mein Kya
 

© 2011 Urdu Poetry Lovers - Designed by Hassan Farooq | Privacy Policy | Sitemap

About Us | Contact Us