Sunday, December 24, 2017

Haalat-E-Haal Ke Sabab, Haalat-E-Haal Hi Gayi

Haalat-E-Haal Ke Sabab, Haalat-E-Haal Hi Gayi
Shauq Mein Kuch Nahin Gaya. Shauq Ki Zindagi Gayi

Tera Firaaq Jaan-E-Jaan, Aish Tha Kya Mere Liye
Yani Tere Firaaq Mein, Khoob Sharaab Pee Gayi

Tere Wisaal Ke Liye, Apne Kamaal Ke Liye
Haalat-E-Dil Ke! Thi Kharaab, Aur Kharaab Ki Gayi

Ek Hi Haadisa To Hai, Aur Woh Yeh Ke Aaj Tak
Baat Nahin Kahi Gayi, Baat Nahin Suni Gayi

Bad Bhi Tere Jaan-E-Jaan, Dil Mein Raha Ajab Samaan
Yaad Rahi Teri Yahaan, Phir Teri Yaad Bhi Gayi

Us Ke Badan Ko Dee Numoo, Hum Ne Sukhan Mein Aur Phir
Us Ke Badan Ke Waaste, Ek Qaba Bhi See Gayi

Meena-Ba-Meena, Mai-Ba-Mai, Jam-Ba-Jaam
Naaf Peyaale Ki Tere, Yaad Ajab Sahi Gayi

Kehni Hai Mujh Ko Ek Baat, Aap Se, Ya�ni Aap Se
Aap Ke Shehr-E-Wasl Mein, Lazzat-E-Hijr Bhi Gayi

Sehn-E-Khayaal-E-Yaar Mein, Ki Na Basar Shab-E-Firaaq
Jab Se Woh Chaand Na Gaya, Jab Sey Woh Chaandni Gayi

Jaun Elia Poetry

0 comments:

Post a Comment

 

© 2011 Urdu Poetry Lovers - Designed by Hassan Farooq | Privacy Policy | Sitemap

About Us | Contact Us