Showing posts with label Hindi Shayari Collection. Show all posts
Showing posts with label Hindi Shayari Collection. Show all posts

Saturday, June 29, 2013

Ghar se Sooch kar Nikla

Be The First To Comment



Ghar se Sooch kar Nikla hun ke Mar jana hai, 


Ab koi Raah Dikha de ke Kidhar Jana hai, 

Jisam se Sath Nibhane ki Mat Umeed Rakho, 

Is Musafir ko Tu Rasty Main Thehar Jana hai, 

Maut Lamhe ki Sada Zindagi Umaron ki Pukaar,

Main Yehi Soch kar Zinda hun ke Mar jana hai, 

Nasha Aesa Tha ke Maikhane ko Duniya Samjha, 

Hosh Aaya Tu Khayal aaya ke Ghar jana hai, 

Mere jazbon ki Bari Qadar hai Logon Main Magar, 

Mere Jazbe ko Mere Sath hi Mar jana hai. 


Abhi bhi waqt hai

Be The First To Comment





Abhi bhi waqt hai tum laut jao,

Mujhe tum se muhabbat ho chali hai,

Bazaahir ek sukoon taari hai magar,

Dil main Qayamat ho chali hai,

Tumhary Naam se Phoolon k khilna,

Tumhara roz ka yun milna,

Tumhary Chand se chehray ko takna,

Meri aankhon ki aadat ho chali hai,

Abhi bhi waqt hai tum Laut jao,

Mujhe tum se muhabbat ho chali hai.



kash main teray

Be The First To Comment



kash main teray haseen hath ka kangan hota

tu baray piyar say chao say baray man kay sath
apni nazuk see kalaee main charhaty mujh ko
aur betaby say furqat kay khiza lamhon main
tu kisi soch main doby jo ghumaty mujh ko
main teray hath ki khushbu say mehak sa jata
jab kabhi mood main akar mujhay chuma karti
teray honton ki main hiddat say dehak sa jata
rAat ko jab bhi tu nindo kay safar pay jati.
marmarin hath ka eik takiya banaya karti
main teray kan say lag kar kai batain karta
teri zulfon ko teray gal ko chumaa karta
mujh ko betab sa rakhta teri chahat ka nasha
main teri roh kay gulshan main mehakta rehta
main teray jism kay angan main khanakta rehta
kuch nahin tu yehi benam sa bandhan hota
kash main teray hansee hath ka kangan hota 


Bheer main chaaron taraf

Be The First To Comment



Bheer main chaaron taraf chehre anjane mile.
Mere apne aaj mujh se ban ke begane mile.
Tha bharosa doston par itna ke mujh se na pooch.
Jin ke hathon main they pathar log pehchane mile.
Ban ke marham waqt hi bharta hai har ek zakham ko.
Jesey jese waqt beeta zakham purane mile.
Kis ke aagay rotay or sunate apni dastaan.
Basti thi ujri hui sunsaan thikane mile.
Ab na maangen ge Illahi zindagi ki bheekh hum.
Ishq main shamma ki yeh kehte hue parwane mile.
Dil diya tha naaz se jis jis ne apni jaan ko..
Chund tootay dil ke tukray unko nazrane mile.
Maazi ki yaad main sab doobay hue thay is qadar.
Khawab tere shehar ke sab log deewane mile.

Sunday, June 23, 2013

Aankh se lahu

Be The First To Comment



Aankh se lahu na bahaaya kar,
aye dil use kabhi to bhool jaya kar,
dekhna wo ek din tujhe chorr jaaye ga,
na tu use itna sataaya kar,
itna aetbaar bhi achha nahi hota,
use har ek baat na bataya kar,
shiddat-e-gham se seena phatt jaaye ga,
aankh se kuch aansu bahaya kar,
us jesa tujhe kahin mil nahi sakta, 'Sahil',
hazaar baar roothe hazaar baar manaya kar...!!!

Wahi khamoshi

Be The First To Comment





Wahi khamoshi wahi tanhai,
ye hawa apne saath kiski yaad laayi,
hum to chand ko dekh rahe the, Aye Sahil,
phir na jane kiske liye aankhein bhar aayi.

Is Bheegi Shaam

Be The First To Comment


--Is Bheegi Shaam K Saye Main-
Chup'ky Se Agr Tum Aa Jao
---------------------------
----------------------------------
Ye Shaam Suhani Ho Jaye
Rangeen Kahani Ho Jaye
-------------------------------
Wo Bat Jo Hum Keh Na Sky
Ankho Ki Zubani Ho Jaye
----------------------------------
----------------------------------
Koi Pyari Baat Tum Chero
Koi Pyar Ki Baat Sunain Hum
----------------------------------
Haan Pyar Krain Yon Hum Dono
Ye Raat Suhani Ho Jaye
----------------------------------
----------------------------------
Is Bheegi Shaam Suhani Me
Chup'ky Se Agr Tum Aa Jao



-----------------------------------------

Ladkiyaan Bewafaa nahi

Be The First To Comment



Ladkiyaan Bewafaa nahi hoti...!
Wo to majborioon mein lipti hain...!

Apne shiddat bhare khyalon mein,
Apne ander chhupi ek aurat mein,

Wo hamesha hi darti rehti hain...!
Na to jeeti hain na to marti hain...!

Larkiyaan bewafaa nahi hoti :( Per Hamesha...
hi darti rehti hain...

Apne reeti or rawajoon se Ane wale naye azaboon se,
Zarurat mein khile ghulaboon se...!

Pyaar kerti hain or chhupati hain,
Larkiyaan Bewafaa nahi hoti....!

Kyuon ki majborioon mein lipti hain...!
aur har lamha darti rehti hain...!

Apne pyaar se apne saye se,
Apney rishton se dil ki dharkan se,
Apni khowahish se apni kushiyon se...???

-----------------------------------------

Mohabbat Rog Hoti Hai

Be The First To Comment




Mohabbat Rog Hoti Hai Kaha Bhi Tha, 
Rula Kar Khud Bhi Roti Hai Kaha Bhi Tha, 

Kinaare Ke Kareeb Le Jaa Kar, 
Ye Kashti Ko Duboti Hai Kaha Bhi Tha, 

Ise TuM Dilki Dharti Ka Pata Mat Do,
Ye Is Mein Dard Boti Hai Kaha Bhi Tha,

Mohabbat Mein Khushi Ke Baad GaM Ki Rutt,
Bahut Nazdeek Hoti Hai Kaha Bhi Tha,

Loota Kar Dilko, Rone Se Bhi Kya Haasil,
Bahut Nayaab Moti Hai Kaha Bhi Tha,

Azal Se Iski Fitrat Hai ZaMane Ko,
Jaga Kar Khud Ye Soti Hai Kaha Bhi Tha,

Ye Sar Se Paanv Tak Pas Raakh Kar Degi,
Bahut Bedard Hoti Hai Kaha Bhi Tha...

------------------------------------------

Tarapte hain na

Be The First To Comment



Tarapte hain na roote hain, na hum faryad karte hain,
Sanam ki yaad me har dam khuda ko yaad karte hain,

Unhin ke ishq me hum naala-o-faryaad karte hain,
Elaahi dekhiye kis din hame wo yaad karte hain...

Shab-e-faraaq me kia kia saanp lehraate hain seene pe,
Tumhari kakul-e-peechan ko jab hum yaad karte hain...
--------------------------------------------

Saturday, June 22, 2013

Ajab Rasam Hai

Be The First To Comment


Ajab Rasam Hai Charah Garon Ki Mehfil Ki,

Laga Ke Zakhm, Namak Se Misaj Karte Hain...

Ghareeb Shahar Tarasta Hai ik Nawale Ko "Sahil"

Ameer Shehar Ke Kutte Bhi Raaj Karte Hain...!

-------------------------------------

Thursday, June 20, 2013

Ab wafa se

Be The First To Comment


Ab wafa se mukar gya hai Dil,
Ab Mohabbat se dar gya hai Dil,

Ab Sahaaron ki baat mat krna,
Ab Dilason se bhar gya hai Dil,

Jab Bulate thy zinda dil thy hum,
Ab na aao k mar gya hai Dil..!

Ab wo pagal pan na wehshat hai "Sahil"
Chot kha kha kar Sambhal gya Hai Dil...!
---------------------------------

Tuesday, May 1, 2012

Dard shayari, Shayari Love, Hindi Shayari

Be The First To Comment


"Meri Ankho k Samadar me Jaln kaisi Hai
Fir ish Dil ko Tadpne ki Lagan Kaisi Hai
Warf k Roop Me Dhal Jayenge Fir Sab Ristey
Mujhse Pucho Yeh Muhabat Ki Agan Kaisi Hai"


 







"Jin Siddato Se Koshish Kar Raha Hoon 
Ab Mai Tumhe Bhulane Ki Kabakht
Kabhi Bahut Dil Se Dua Maanga Karta Tha
Tumhe Apna Banane Ki"






 







"Chote Se Dil me Arma Koi Rakhna
Duniya Ki Bheed Me Pehchan Koi Rakhna
Achey Nahi Lagte Jab Rehte Ho Udas
In Honto Pe Sada Muskan Wahi Rakhna"


 













"Dil me Dhadkan or Ankhon Me Ansu Thum Jate Hai, Jab Kabhi Hum Apke Is Asiyane 
Me Atey Hai,Thaam To Lete Hai Palko Ki Kapkapahat Do Ghadi, Par In Ansuo Ka Kya Kare Jo Pal Me Bikhar Jate hai"







"Kitna Nadan Hoon Me Bura Keh k use
Kya Khabar Thi Jate-Jate Wo Dua De Jayega
Aisa B Kya likhu k Uske Dil Ko Pahunche Tandak
Kya Itna Kaafi Nahi Ki Meri Har Dua Me Wahi Hai"













"Ae Khudah E Shehar Mujhe Janjaalo Me Zinda Rakh
Mai Bach Gaya To Nayi Bastiyan Basata Chala Jaunga"
 

© 2011 Urdu Poetry Lovers - Designed by Hassan Farooq | Privacy Policy | Sitemap

About Us | Contact Us