Sunday, December 24, 2017

Apne sab yaar kaam kar rahe hain

Apne sab yaar kaam kar rahe hain
Aur hum hain ke naam kar rahe hain

Tegh-baazi ka shauq apni jagah
Aap to qatl-e-aam kar rahe hain

Daad-o-tehseen ka yeh shor hai kyun
Hum to khud se kalaam kar rahe hain

Hum hain masroof-e-intizaam magar
Jaane kya intizaam kar rahe hain

Hai woh bechaargi ka haal ke hum
Har kisi ko salaam kar rahe hain

Aik qataala chahiye hum ko
Hum yeh elaan-e-aam kar rahe hain

Na uthe aah ka dhuaan bhi ke woh
Ku-e-dil main khiraam kar rahe hain

Us ke honton pe rakh ke hont apne
Baat hi hum tamaam kar rahe hain

Hum ajab hain ke us ke kuchay main
Be-sabab dhoom-dhaam kar rahe hain

Jaun Elia Poetry

0 comments:

Post a Comment

 

© 2011 Urdu Poetry Lovers - Designed by Hassan Farooq | Privacy Policy | Sitemap

About Us | Contact Us