Thursday, May 31, 2012

Baith Ke Tanha Udaas Raaton Me

Be The First To Comment
Baith Ke Tanha Udaas Raato Me
Ye Sochta Rehta Hoon!

Zindagi Khatam Ho Rahi Hai
Wafa Ki Talash Karte Karte...!

Posted in Sad Poetry

Monday, May 28, 2012

Best Urdu Poetry

Be The First To Comment

Hamsafar

Guftagu achi lagi zok e nazar acha laga
Muddaton kay baad koi hamsafar acha laga
Manzilon ki baat choro kis nay paein manzilain
Ek safar acha laga ek hamsafar acha laga

Likhtay Hain Faqat Us kay liye

Badnaam zamany main mohabbat nahi kartay
Dil walay to dushman se bhi nafrat nahi kartay
Ek baar jisay chaha sada us kay rahay phir
Hum log amaanat main khayanat nahi kartay
Tanhai main kar lete hain yaad aansoo baha kar
Zahir kabhi hum apni ebadat nahi kartay
Waqt aanay par maloom yeh ho jaye ga us ko
Hum sirf dikhaway ki mohabbat nahi kartay
Likhtay hain faqat ek us kay liye ghazlain
Har shaks pe hum aisay enayat nahi kartay

Tu nay khushboo mere lehjay main basa rakhi hai

Pyas darya ki nigahon se chupa rakhi hay
Aik badal se bari aas laga rakhi hai
Teri aankhon ki kashish kese tujhay samjhaon
In chiraghon nay meri neend ura rakhi hai
Teri baaton ko chupana nahi aata mujh ko
Tu nay khushboo mere lehjay main basa rakhi hai

Ik umr say aadat hai teray sham o sehar ki
saajan
Ab kon teri yaad kay mamool ko badlay

Mohabaton main yehi khauf kyun musallat rehta hai
FARAZ
Kahin meray siwa kisi aur say to mohabbat nahi usay

Jab bhi teri deed ka imkaan rahay ga
Dil or pareshan pareshan rahay ga
Chalo door reh kar khawabon main miltay hain
Milnay kay yehi raasta aasaan rahay ga

Phir us kay baad ashkon ko sitara kay lya jai

Nibhanay ka irada ho to waada kar lya jai
Chalo mil kar gham-e-hasti ko aadha kar lya jai
Andheri shab ka khatra ho to aisa kar lya jai
Kisi jugnu ki baanhon ko sahara kar lya jai
Yahan kaantay bhi ugtay hain Yahan kalyan bhi khilti hain
In hi kay darmyan reh kar guzara kar lya jai
Bharosay kay nahi laiq koi insaan yahan lekin
Jo jeena hai to logon per bharosa kar lya jai
Lagaya jai andaaza andheri raat ka pehlay
Phir us kay baad ashkon ko sitara kay lya jai

Mout bhi kum khubsurat nahi hoti ho gi

Mout bhi kum khubsurat nahi hoti hogi dosto
Jo bhi is say milta hai zindagi chor daita hai.........

Ajnabi thay ajnabi hain itni gehri Dosti kay baad bhi

AJNABI
main usay kaisay akela chor dun is raah main
sath jo chalta raha majburuyn kay baad bhi
Ban kay khushbo rach gya hai yun meray ehsas main
Door ho paaya nahi wo dooryun kay baad bhi
Rafta rafta usko bhi dunya raas aai gai
Muskara kay wo mila hai ranjishon kay baad bhi
Faslay kab kum huay hain raabton kay baad bhi
Ajnabi thay ajnabi hain itni gehri Dosti kay baad bhi

Ehsas-e-Tanhai

Main kisi aisi jagah ki justuju main hun WASI
Jahan gehri tanhai to ho magar, Ehsas-e-Tanhai na ho........

Zindagi kya hai tu mujh se pooch

Rukh-e-Shabab say aanchal ko jo siraktay dekha
Chaand aakash kay jhurmat say nikaltay dekha
Mujh ko mehsoos hua Dard-e-Judai kya hai
Main nay ik phool ko tanhai say bikhartay dekha
Zindagi kya hai tu mujh se pooch WASI
Main nay gulshan ko baharon main ujartay dekha

Tumharay wastay ab koi nahi hai

Aadtain uski thi bus mujhay jalanay wali
Baat ki hans kay magar dil ko dukhanay wali
Aajkal wo mujhay kuch badla huwa lagta hai
Ho gain uski nighain bhi zamanay wali
Hum nay ikhlas ka daaman nahi chora ab tak
Haye uski to mohabbat hai rulanay wali
Main nay samjha tha guzar jai ga mausam laikin
Rut - e - barsaat bhi nikli to sataanay wali
Tumharay wastay ab koi nahi hai WASI
Khud sai batain na karo dil ko behlanay wali

Takleef daita hai

Sari dunya kay chup rehnay say mujhay gharz nahi
Bus aik us ka khamosh rehna mujhay takleef daita hai

Teri tarah koi deewana ghar say nikla tha

Ajab janoon-e-musafat main ghar say nikla tha
Khabar nahi kay sooraj kidhar say nikla tha
yeh kon phir say mujhay raston main chor gya
Abhi abhi to azab-e-safar say nikla tha...
Ye teer dil main magar bay-sabab nahi utra
Koi to harf lab-e-chara-gar say nikla tha
Main raat toot kay roya to chain  say soya
K dil ka zehar meri chashm-e-tar se nikla tha...
wo qais ab jisay majnon pukartay hain, mirza
Teri tarah koi deewana ghar say nikla tha

Marrr jayen gay hum

Faqat is darr sey sona chor diya Faraz
kay woh khawabon main bhi bichra to marr jayen gay hum....

Best Love

I remember like it was yesterday, the day I first saw your face.
I remember your smile so vividly, your beauty and your grace.
But little did I know. I could not comprehend,
that you would touch my life so much by becoming my best friend.

Your hand embraced with mine, the star lit sky did see
How, although my chest was pounding, I dropped down to one knee.
I didn't think my heart had room, for my love to grow
There's just no way to love you more, but how little did I know.

Dressed in white, our eyes then met, standing in that sacred room.
When we both agreed to be man and wife my love for you did bloom.
I cannot explain. My heart just grew. I've never felt this way.
But little did I know, that I'd love you more each day.

The memories remain, yet those days are now long past.
The time has gone so sweet and slow, but at the same time fast.
My love for you is greater now, than it ever was before.
But little do I know right now, how much I'll love you more.

SPECIAL GHAZAL


''MAINE ULFAT KA BHARAM SB SAI JUDA RAKHA HAI
''GOYA SEENY MAY TUJHY DIL KI JAGA KAKHA HAI
''DIL YEH CHAHY K TU KABI BADNAM NA HO
''DEKH ZIKR TERA HAI MAGAR NAAM CHUPA RAKHA HAI
''MERE JIS HATH SE KIA THA TU NE MUSAFHA
''DHOYA HI NAI HONTON SE LAGA RAKHA HAI
''AB MAY SAMJHA TERE RUKHSAR PAKARNY KA
''DIL SE DIL KA HAI KITNA FASLA YEH B LIKHA HAI
''KIYA USY LIKHSIN '''''' '''''' KIA USY KAHAIN''''
''JIS NE BEJAAN KR K JAAN BHI LIKHA HAI.......!!!!!!!!!!

ZARORAT KIA THI




? ''FASLA ITNA BARHANY KI ZARORAT KIA THI,
-------------------------------------------------------
?''TUJHY MUJHY SE ROOTH K JANE KI ZARORT KIA THI,
-------------------------------------------------------------
?''AB JO MUJH SE ROTH KR UDAS REHTY HO,
----------------------------------------------------------------
?''APNA HATH MERY HATH SE CHORANE KI ZARORT KIA THI,
------------------------------------------------------------------
?''DUNYA KB KISI K GHAM KO APNA GHAM SAMAJHTI HAI
------------------------------------------------------------------
?''TUJHY APNA GHAM DUNYA KO DEKHANY KI ZARORT KIA THI,
------------------------------------------------------------------
?''MAIN AJ TAK IS BT KO NAI SAMAJH PAYA,
---------------------------------------------------------------------------
?''JB SAATH TMHARY MAY THA TU TM KO ZAMANE KI ZARORT KIA THI..?


? DIL KI RAHUN PE CHALNA ASAN TU NAI
LIKIN.......!!!!!!!!!!!!!
? HAMSAFAR MUKHLIS HO TO DOORIYAN PAL MAIN MIT JATI HAIN....******

ITS TRUE



? Rat phir mujhy sataya chand ne
Tere na hony ka ehsas dilaya chand ne


? Na so sake aik pal k liyh b
Apne chahre may tera aks dekhaya chand ne


? Udass hoi jb b may teri yad main
Teri trhan mujhy behlaya chand ny


? Hirat hoi mujhy yeh dekh kr
Kis qadar wafa ko nebhaya chand ny


? Wo jo hath tak chone ko badbi samajhta tha
? Gale se lag ke rooya tha bicharne se zara pehly...............


Itni muhabt na karo k bikhar jaon may
Thora rotha karo k sudhar jaon may
Agar ho jay mujh sai khata tu ho jana khafa
Par itna b nai k toot jaon may........!!!!!!!


?Mana k bht keemti hai waqt tera,,
??SAHIL??
?Hum b nayab hain yeh tm he kaha karty thy,,


?Palkon se ankhon ki hifazat hoti hai
?Dharkan tu dil ki amnat hoti hai
?Yeh dosti ka reshta b bara pyara hai
?Kabhi chahat tu kabi shikayat hoti hai

Apnay Dil Ki Sunn

Apnay dil ki sunn afwahon se kaam na lay
Mujhay yaad rakh baishak naam na lay
Tera veham hai kay hum bhool gai tujhay
Meri koi aisi saans nahi jo tera naam na lay


Ankhun ka rang bt ka lehja badal gaya
Wo shakhs aik sham may kitna badal gaya
Shyd wafa k khel sai ukta gaya tha wo
Jo manzil k pas a k rasta badal gaya..........!!!!!!!!1

Mera Nam Aitbar Hai

� Us ny kaha tmhy mujh sai kitna pyar hai,
Maine kaha sitarun ka koi shumar hai,

Usne kaha kon tmhy sb se zyada azeez hai,
Maine kaha dil pe jis ka ikhtyar hai,

Usne kaha kon sa tohfa hai tmhy pasand,
Maine kaha wo sham jo tm par udhar hai,

Usne kaha sath kb tak nibhao gay,
Mene kaha jitni sanson ki rafta hai,

Usne kaha mujhko yakeen ay kesy,
Mene kaha mera nam aitbar hai,


?Har nazar ko aik nazar ki talash hai ?
?Har dil may chupa aik ehsas hai ?
?Ap sai pyar yun he nai hm ny ?
?Kiya karain hamari pasand he kuch khas hai........??


'''' Ankhun'' sai kaho pyar ka andaz na badlain''''
'''' Sanson'' sai kaho dard ka yeh sas na badlain''''
''''Aye ga kabi pyar ka musam b kisi roz''''
'''' Dharkano'' sai kaho roh ka hamraz na dablain''''
'''' Yun sochna aur jagna kismat may hai din rat''''
'''' Yadon'' se kaho pyar ki prwaz na badlain''''
'''' Milte hain dor ja k dryan k do kinare''''
'''' Chahaton'' sai kaho safar ka andaz na badlain''''
'''' Sunty hain hr aik chup may tery anay ki khabr''''
'''' Piyaron'' sai kaho sath chalny ka andaz na badlain''''


Wo pyar yun karta hai snblnay nai deta
Phir dukh k samandar may ubharny nai deta
Us ki jafa b mashroot hai wafa k sath
Wo dard to deta hai per ronay nai deta,
Karta hai wo war marham ko khanjar pe laga k
Wo zakham tu deta hai pr marny nai deta,
Jo torta hai dil to anson b bhata hai
Barbad to karta hai per ujarny nai deta,
Mehboob mila hai hm ko ajeeb sa mohsin!
Wo agg to lagata hai par jalny nai deta.....!!!!!!!

Tanha


Apni Zindagi Bhi Us Chand Ki Manind Hai
Jo Khubsurat To Dekhta Hai Magr Hai Bht "TAnHA''


Wo apne hathon ko mujhse churana chahty hain
Ya k aik br phir azmana chahty hain
Ab k bar wo kuch ayse badal gya hai
faraz
jesy kisi ao ko apnana chahty hain



? Lamhon may qaid kar dy jo sadiyon ki chahtein


""?? Wasi ??''''

? Hasrat rahi k aisa koi apna bhi talabgar ho.....??

Khayal Rakhna


Gham-e-zamana faraib dega khayal rakhna
Wafa k raste se lot jana faraib dega khayal rakhna
Sakoon dain gi wisaal ratein chain dain gay udas lamhy
magr ye pal bhr ka muskarana faraib dega khayal rakhna
Tu khwab kis ka main khwab kis ka na pyr mujh ko na pyr tmko
ye aik doujay sy batain krna faraib dega khayal rakhna
Jo qehr toota hai dil pe mery wo qhr tooty na ab kisi pe
ye dil jlana ye ghar lutana faraib dega khayal rakhna........

Ajeeb



"Ajeeb soorat-e-haal hoti ja rahi hai
Raat k bad raat hoti ja rahi hai''


''Wo tu ab bhi mukamal hai pathar ki trhan
reza reza to meri zaat hoti ja rahi hai''



Na me pas usko bula saka............. na dil ki bat bata saka
Wo hansi hansi may he chal dia.......... k may hath tak na hila saka

Yunhi sochta raha dor tak............. magr us ko kuch na bata saka
Ye muqam he tha ajeeb sa............. k may khud ko b na bacha saka

Wo juda howa tu kuch is trhan............. koi rasm tak na nibha saka
usy jana tha wo chala gaya.................. usy aj tak na bhula ska.......!!!

Kami hamari ho gi

? Khamoshi se sono awaz hamari hogi
Mehfil may me jo tanha kr jay wo yad hamari hogi ?



? Jb kabi socho gay hamary pyar ko
Hr taraf khushyan hongi par kami hamari hogi ?

Tanha

? Tanha chor r hum ko hosla b dety ho.......?
Sanss chen kr jeeny ki dua b dety ho.......?


?Ik taraf judai ka tazkara b jari hai..........?
Aur muskarane ka mashwara b dety ho?....?

ghazal

Meri rooh nikalne wali hogi?
Meri sans bikharne wali hogi?

phir daman zndgi ka chuty ga?
dhaga sans ka b tutay ga?

phir wapis hum na aien gay?
phir hum say koi na roothy ga?

phir ankhun may noor na hoga?
phir dil gham sai choor na hoga?

us pal tm hmko thamo gay?
hm sai dost apna mago gay?

phir hm na kuch b bolain gay?
ankhain b na kholainn gay?

us pal tm ro do gay?

bas

phir tm hm ko kho do gay?

Muhabbat ka bicharr jana to aik rasam hai


""Galib""


Ajeeb baat to ye hai k dost bhi bewafa ho jaty hain.

Barish

"" Barish ban kar barasti hain uski yaadein mujhy par""


'''''WASI''''''


"" Zara soch kitna dilkash hota hoga meri tanhai ka manzar""

Meri neendain kharab hoti hain

Jin shaamon main tujhay bholna chahen
Wohi raatein azaab hoti hain
Apni yaadon kay silsilay roko
Meri neendain kharab hoti hain

Meri pagal si dosti tumhain yaad aye gi

Meri pagal si dosti tumhain yaad aye gi
Jab chand sitaray chamak rahay hongay
Jab yadoon kay phool mehak rahay hongay
Jab neend ko nain taras rahay hongay
Jab aankhon say aanso baras rahay hongay
Meri pagal si dosti tumhain yaad aye gi
Jab tanhai se dil ghabraye ga
Jab tumhain akela pan sataye ga
Jab koi khawab hi nahi aye ga
Jab phool kitab main hi reh jai ga
Meri pagal si dosti tumhain yaad aye gi

The Best Ghazal - Teray Naam

Ek chadar ko rahay mehboob pay bicha dena
Main mar jaon to  osay mera kafan bana dena
Thori si khak un kay qadmo ki lay kar
Anso un ka muaj par gira daian
Bohat roye ga mujhay dekh dekh kar ek shaks.
Is liye dair na lagana mujhay jaldi dafna daina
Lagana ek poda meri qabar kay sirhanay
Meray yar kay ansun us ko pila daina
Agar bohat roay meri qabar pay a kar wo
To nikalna mujhay wahan se aur jala daina

Girtay ansuon main bhi muskura laingay hum......

Ruthi jo zindagi to mana laingay hum
Mila jo gham to nibha laingay hum
Bus tum raho sath hamaray sada
Girtay ansuon main bhi muskura laingay hum......

zawal

kisi or se koi wasta na sawal tha na malal tha!!
mujhy ab b us ka khayal hy mujhy kal b us ka khayal tha!!

wohi jis k chehry ki roshni mera rang thi mera roop thi
wohi shakhs tha meri arzu wohi mera husn-o-jamal tha!!

wohi chandni wohi chand tha magr raat garg b maand tha
teri yaad thi mere rubaru mera rabta b bahaal tha!!

jo zuban-e-ekhalq pe aam thein wo tumhri meri kahaniyan
mujhy aaj tk na khabar hui wo urooj tha k zawal tha!!!!!

Hamdard

Mujhy se bichr kr wo ab tak nahi roya



FARAZ



koi tu hamdard hai jo use rone nahi deta...,,

Saqi sharab laa kay tabiyat udas hai

Saqi sharab laa kay tabiyat udas hai
Mujhay itni pila kay tabiyat udas hai
Tere jaam ki kasam apne ap main nahi hun
Ankhon se pila kay tabiyat udas hai
Apno nay thukraya hai mujhay khuda ki qasam
Tu apna ban kay dikha kay tabiyat udas hai...........

Aaj kisi ki dua ki kami hai

Aaj kisi ki dua ki kami hai
Tabhi to hamari aankhon main nami hai
Koi to hai jo bhool gaya hai hamain
Par humaray dil main un ki jagah ab bhi wahin hai

Phir us ki chahat main kami kyoun hai?

Aaj phir aaina hum se poochta hai
Kay teri aankhon main nami kyoun hai
Usay kya batayen kay
Jiski Chahat main khud ko bhula dya
Phir us ki chahat main kami kyoun hai?

Main uss kay darr pe le ke dil-o-jaan bhi gya

Dil say wisaal-e-yaar ka armaan bhi gya
Dekho jo ghar udas to mehman bhi gya
Kar li hai uss ne phir gham-e-jana se dosti
Lo apne haath se dil-e-nadaan bhi gya
Mushkil tha apni raah pe lana usay magar
Tha baat mein khuloos to wo maan bhi gya
Dikhlaye kya bahaar ne josh-e-junoon kay rang
Daaman bacha rahay thay garaiban bhi gya
Us ki wafa kabhi bhi na haasil hui mujhe
Main uss kay darr pe le ke dil-o-jaan bhi gya

BHOOL

Mujhy maaf kr mere hamsafar
tujhe chahna meri bhool thi,

kisi raah per jo uthhi nazar
tujhe dekhna meri bhool thi,

koi nazm ho ya koi ghazal
kahin raat ho ya kahin seher,

wo gali gali wo sheher sheher
tujhy dhondna meri bhool thi,

mere gham ki koi dava nahi
mujhy tujh se koi gilaa nai,

mera koi tery siva nahi
yahi sochna meri ""bhool"" thi........

? Kyun udaas baithy ho
is trhan andheriy main



""FARAZ""



Dukh to kam nai hoty
Roshni bujhaney se.............

Apne CHAHAT se dena sukoon itna
k
mujhy tumhare baad koi acha na lage,


Tumhain karni hai Bewafai to is ada se karna
k
mujhy tumhare baad koi bewafa na lage,

GHAZAL

Apne usool yun'b kabi torne pare,

Uski khata thi hath mujhy jorne pare,

Aya na jb qarar dil-e-beqrar ko,

Yadon k rukh tmhari tarf morne pare ,

Usko to meri yad b ai na 1 din

Apne paraye jis k liye chorne pare

MOHSIN wo Shakhs khud bara be usool tha,

Apne usool jis k liye torne pare..............!!!!
 

© 2011 Urdu Poetry Lovers - Designed by Hassan Farooq | Privacy Policy | Sitemap

About Us | Contact Us