Monday, October 29, 2012
Dhalti Eid Ke Saath
Dhalti Eid Ke Sath Hee Khataen Maaf Kar Dena
Kia Pata Jab Phir Eid Aaye To Hum Na Hon...!
Alvida Eid
Filed in Eid Poetry
Thursday, October 25, 2012
Hum Juda Kis Se Howe
Din Ko Masmaar Howe, Raat Ko Taamir Howe
Khwaab Hi Khwaab Faqat, Rooh Ki Jaagir Howe
Umr Bhar Likhtey Rahe, Phir Bhi Warq Saada Raha
Jaane Kia Lafz The, Jo Hum Se Na Tehreer Howe
Yeh Alag Dukh Hai Ke, Han Tere Dukhon Se Azad
Yeh Alag Qaid Hai Hum, Kiun Na Zanjeer Howe
Deeda o Dil Mei Tere, Aks Ki Tashkeel Se Hum
Dhool Se Phool Howe, Rang Se Tasvir Howe
Kuch Nahi Yaad Guzishta Shab Ki Mehfil Mei Faraz
Hum Juda Kis Se Howe, Kis Se Baghal Gir Howe
More in sad poetry sms
Saturday, October 20, 2012
Jo Dost Nazar Aatey Han!
Wo Tark e Talluq Ka Ishara Bhi Nahin Kartey
Par Baat Bhi Hum Se Karna Gawara Nahin Kartey
Hum Jin Ko Basa Letey Han Ik Bar Nazar Mei
Phir Un Ko Kabhi Dil Se Utara Nahin Kartey
Apney Liye Bus Ik Yarana Hi Bohot Hai
Hum Koi Bhi Ghalti Dubara Nahin Kartey
Jo Dost Nazar Aate Han, Baatin Me Han Dushman
Hum Jaante Han Phir Bhi Kinara Nahin Kartey
Jab Tak Wo Salamat Han, Adawat Ka Maza Hai
Dushman Ko Kabhee Jan Sey Maara Nahin Kartey...
Posted in poetry sms
Friday, October 19, 2012
Aankhon Me Neend Hy!
Raat Chup Hai Magar Khamosh Nahin
Kese Kahun K Aaj Phir Hosh Nahin
Aese Doobe Han Kisi Ki Yaad Ki
Gehraai
Mei
Aankhon Me Neend Hy Magar Sone Ka
Hosh Nahin
Good Night!
Posted in sad poetry
Wednesday, October 17, 2012
Tujh Ko Nahe Ehsaas!
Tujh Ko Nahin Ehsas Ke Aye Ishq
Teri Khaatir!
Ek Shux Barey Kaam Ka Bekaar
Hua Hye!
Posted in sad poetry sms
Tuesday, October 16, 2012
Sunday, October 14, 2012
Kaanton Se Bhi
Gulshan Parast Hoon Mujhe Gul Hi Nahi Aziz!
Kaanton Se Bhi Nibah Kiye Jaa Raha Hun Mai!
Filed in sad poetry sms
Thursday, October 11, 2012
Ek Wo Ke Jinhe Yaad Nahi!
Ek Wo Ke Jinhe Yaad Nahi Qissa e Maazi
Ek Hum Ke Abhi Pehli Mulaqat Nahi Bhoole...
Filed in best poetry in urdu
Ek Hum Ke Abhi Pehli Mulaqat Nahi Bhoole...
Filed in best poetry in urdu
Subscribe to:
Posts (Atom)