Sunday, June 23, 2013

Suna hai log

Be The First To Comment


? Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain ?
 So us ke shahar main kuchh din thehr ke dekhte hain...

Suna hai rabt hai us ko kharaab halon se
 So apne aap ko barbad kar ke dekhte hain...

Suna hai dard ki gahak hain chashm-e nazuk us ki
                   So ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain...
Suna hai us ko bhi hai sher-o shayari se shagaf 
  So ham bhi mojazay apnay hunar ke dekhte hain...

Suna hai bole to baton se phool jharrtay hain 
Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain...

Suna hai raat use chand takta rehta hai 
Sitaray baam-e falak se utar kar dekhtay hain...

Suna hai hashr hain us ki ghazaal si aankhain 
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain...

Suna hai din ko usay titliyan satati hain 
Suna hai raat ko jugno thahar ke dekhte hain...

Suna hai rat se barh kar hain kakulan us ki 
Suna hai sham ko saye guzar ke dekhte hain...

Suna hai us ki siyah chashmagi qiyamat hai 
So us ko surma farosh aankh bhar ke dekhte hain...

Suna hai us ke labon se gulab jalate hain 
So ham bahar par ilzaam dhar ke dekhte hain...

Suna hai aaina tamasal hai jabin us ka
Jo sada dill hain ban sanvar ke dekhte hain...

Suna hai jab se hamail hain us ki gardan main 
Mizaj aur hi lal-o gauhar ke dekhte hain...

Suna hai chashm-e tasavur se dasht-e imkan main
Palang zawaiya us ki kamar ke dekhte hain...

Suna hai us ke badan ke tarash aisay hain 
Ke phuul apani qabayain qatar ke dekhte hain...

Woh sarvqad hai magar begul-e muraad nahin 
Ke us shajar pe shagufay samar ke dekhte hain...


Bas ek nigah se lutata hai qafila dil ka

So rahravaan-e tamannaa bhi dar ke dekhte hain...



Suna hai us ke shabistan se mutasil hai behisht

Makin udhar ke bhi jalway idhar ke dekhte hain...


Rukay tu gardishain us ka tawaf karti hain

Chalay to us ko zamanay theher ke dekhte hain...


Kisay naseeb ke be parahan usay dekhay

Kabhi kabhi dar-o divaar ghar ke dekhte hain...


Kahaniyan hi sahi sab mubalaghay hi sahi

Agar woh khawb hai tabeer kar ke dekhte hain...


Ab us ke sheher main thehrain ke kooch kar jayan

'Sahil' aao sitaray safar ke dekhte hain....

Saturday, June 22, 2013

Milnay ki gharz

Be The First To Comment



Milnay ki gharz ho to chalay aatay hain apnon ki tarha 'Sahil'



Dil bhar jaye to jawaab dena bhi gawaara nahi kartay...!!
----------------------------------

Hogayi rukhsat

Be The First To Comment



Hogayi rukhsat ghata baarish ke baad 

Ek diya jalta raha baarish ke baad



Mere behte hue Aansuon ko dekh kar 

Ro parri thandi hawa baarish ke baad



Meri tanhaayi ka daaman thaam kar 

Kuch udaasi ne kaha baarish ke baad



Yaad teri odh kar mein so gayi 

Khawaab ka daar khul gaya baarish ke baad



Chand dekh kar baadlo ki qaid mein 

Ek sitaara ro diya baarish ke baad



Apne ghar ki har kachchi deewaar par 

Naam tera likh diya baarish ke baad....!

---------------------------------

Kuch Mohabbat

Be The First To Comment


Kuch Mohabbat ka Nasha pehle ham ko Tha 'Sahil'

Dil jo Toota to Nashe se Mohabbat Ho gai....!


----------------------------------------

Yeh Mohabbat bhi

Be The First To Comment

Yeh Mohabbat bhi hai kia Rog 'Sahil',
Jisko bhoolay wo sada yaad aaya...!
-----------------------------------------

Mohabbat Kar

Be The First To Comment

Mohabbat Kar Sakte Ho To Khuda Se Karo 'Sahil'
Mitti Ke Khilonon Se Kabhi Wafa Nahi Milti....
-------------------------------------

Tamam Umer Usi Ke

Be The First To Comment



Tamam Umer Usi Ke Khayal Mein Guzri 'Sahil'

Mera Khayal Jise Umer Bhar Nahi Aaya....

Ye iltija hai

Be The First To Comment

Ye iltija hai ke aankhon me basa lo ham ko "Sahil"
ham bhi sajh jayn ge, tum bhi sanwar jaoge...
-----------------------------------

Ajab Rasam Hai

Be The First To Comment


Ajab Rasam Hai Charah Garon Ki Mehfil Ki,

Laga Ke Zakhm, Namak Se Misaj Karte Hain...

Ghareeb Shahar Tarasta Hai ik Nawale Ko "Sahil"

Ameer Shehar Ke Kutte Bhi Raaj Karte Hain...!

-------------------------------------

Thursday, June 20, 2013

Be The First To Comment

Ab wafa se

Be The First To Comment


Ab wafa se mukar gya hai Dil,
Ab Mohabbat se dar gya hai Dil,

Ab Sahaaron ki baat mat krna,
Ab Dilason se bhar gya hai Dil,

Jab Bulate thy zinda dil thy hum,
Ab na aao k mar gya hai Dil..!

Ab wo pagal pan na wehshat hai "Sahil"
Chot kha kha kar Sambhal gya Hai Dil...!
---------------------------------

Wednesday, June 19, 2013

Izhar-e-Tamanna

Be The First To Comment

Izhar-e-Tamanna Hi Toheen-e-Tamanna hai "Sahil"

Tum Khud hi Samajh Jao, Me Naam Nahi loongi...

                    


Thursday, June 6, 2013

Khamosh Sa Sheher - Latest Urdu Poetry on Khamoshi - Beautiful Collection

Be The First To Comment
Khamosh Sa Sheher
Oor
Guftuguo Ki Arzu

Hum Kis Se Karin Baat
Koi Bolta Hi Nahie

~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~


Tujh pe alfaaz nahin waaren gey!


Ab tujhy khamoshi sey maaren gey!

~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~


Kitaabain Bhee Bilkul Meri Tarhan Hen!


Alfaaz Sey Bharpoor
Magar Khamosh....

~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~

Haqeeqat Mei Yeh Khamoshi Hamesha Chup Nahin Hoti
Kabhi Tum Ghour Sey Sunna! Boht Qissay Sunati Hai!

~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~

Muddaton Say 
Jism Ke Jhoolay Main
Dil Murdaa Bachhe Ki Tarhan
Khamosh Hay!!

Aor Zindagi??
Ik Baawli Maan Ki Tarhan
Jhoola Jhulaye Ja Rahi Hay
Qissay Sunaye Ja Rahi Hay
Pankha Hilaaye Ja Rahi Hay!!!

~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~

Ab Ke Socha Hay Khamoshi Ko Bana LenGe
Andaaz e Bayaan Apna!

Na Lafz Dhoondna ParenGe
Na Guzrain Ge Nagawar Kisi Ko

~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~

Sirf Teri Ruswaayon Ke Darr Se Khamosh Han Warna

Likhnay Pey Ajaayen To Qalam Say Sar Qalam Karden!!

~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~


Read more sad urdu poetry at: www.poemsurdu.com

Wednesday, April 24, 2013

Chaman Mai Dhoundti Phirtee Hay Barg E Awaara!

Be The First To Comment
barg e awaara - nasir kazmi


Hum Han Voh Barg E Khizaan Deeda Jinhay
Nasir!

Chaman Mai Dhoundti Phirtee Hay Barg E Awaara!

Couplet by Nasir Kazmi

Monday, April 15, 2013

Chashm e Tamannaa Bujh Jaayey!

Be The First To Comment
Khwaab Jal Jaayain,
Meri Chashm e Tamannaa
Bujh Jaayey!

Buss Hathayli Say Urray
Rang e Hina Aaahistaa!

Beautiful Poetry by Parveen Shakir

 

© 2011 Urdu Poetry Lovers - Designed by Hassan Farooq | Privacy Policy | Sitemap

About Us | Contact Us