Saturday, September 29, 2012

Kuch Din Se Merey Sehen Mei

Be The First To Comment
Koi To Khabar Ley Merey Dushman e Jaan Ki
Kuch Din Se Merey Sehen Me Pathar Nahi Aye

Filed in best poetry in urdu

Saturday, September 22, 2012

Teri Kami Ka Azaala

Be The First To Comment
Har Cheez Dastyaab Hai Dunya Jahan Ki
Lekin Teri Kami Ka Azaala Na Ho Saka!

Filed in sad poetry sms

Friday, September 14, 2012

DOSTI Ka Silaa!

Be The First To Comment
Duniya To DOSTI Ka Silaa De Chuki Mujhey...!
Tu Bhi Mera Khuloos Merey Moo Pe Maar Dey...!

Posted in sad poetry sms

Thursday, September 13, 2012

Raaz e Hasti Kuch Nahin

Be The First To Comment
Raaz e Hasti Kuch Nahin
Aksar Yehi Dekha Gaya!

Be Khabar Haste Rahey
Baa Khabar Rote Rahey!


Filed in sad poetry sms

Saturday, September 8, 2012

Nahi Hai Dosti Jiss Sey!

Be The First To Comment
Mujhe Mehsoos Hota Hai
Lutf E Zindagi Kum Hai

Gham E Dil Hadd Sey Barh Kr Han
Muyassar Ab Khushi Kum Hai

Musalsall Dil Ki BeChaini Ko
Kiya Kehtey Han Dil Waley

Tumhen Maloom Ho Shayd
Mujhe To Aagahi Kum Hai

Ab Iss Ke Baad Jism o Jaan Ko Bhi
Jalaney Se Kiya Haasil

Charaghon Me Lahu Jalta Hai
Phir Bhi Roshni Kum Hai

Jisey Bhi Dost Samjha!
Dushman e Jaan Wo Thehra!

Nahi Hai Dosti Jiss Sey
Usi Sey Dushmani Kum Hai!


Filed in sad poetry sms

Saturday, September 1, 2012

Timtima Raha Hy Baadal

Be The First To Comment
Timtima Raha Hy Baadal Merey Veeraney Mei!
Andaaz Achaa Hy August Tere Jaaney Ka!

Alvida August!

Filed in sad poetry sms

Friday, August 17, 2012

Suna Hae Eid Bhi Ho Gi...!

Be The First To Comment
Suna Hae Chaand Nikley Ga
Suna Hae Eid Bhi Ho Gi

Hamein To Aasmaan Pe
Dour Tak Kuch Bhi Nahi Dikhta

Kahan Wo Chaand Nikley Ga
Ke Jis Ke Waaste Hum Ne
Kabhi Palken Nahi Jhapkien
Wo Jis Ka Raasta Takte
Hae Guzri Zindagi Apni
Nahi Kuch Bhi Khabar Ke Wo
Nikle Ga To Kab Aakhir
Hamari Muntazir Aankhon Ko
Us Ki Deed Kab Ho Gi
Abhi Pucho Nahi Hum Se
Hamari Eid Kab Hogi....!

Posted in Eid Ghazals


Tuesday, July 31, 2012

Bas Yehi Naa Ke Tarrap Ke Guzar Gaya Din - Tum Yaad Na Karo Ge...

Be The First To Comment

Bas Yehi Naa Ke Tarrap Ke Guzar Gaya Din
Tum Yaad Na Karo Ge Tu Shaam Na Hogi?

Posted in Sad Poetry SMS

Sunday, July 29, 2012

Taak Me Dushman Bhi Thay

Be The First To Comment
Taak Me Dushman Bhee Thay
Pusht Pr Ahbab Bhi...!

Pehla Teer Kis Ney Mara
Ye Kahani Phir Kabhi...!


Posted in Sad Poetry SMS

Saturday, July 28, 2012

Nibhaney Ka Irada Ho!

Be The First To Comment

Nibhaney Ka Irada Ho
To Waada Kar Liya Jaey

Chalo Mil Kar Gham e Hasti Ko
Aadha Kar Liya Jaey

Andheri Shab Ka Khatra Ho
To Aisa Kar Liya Jaey

Kisi Jugnoo Ki Baanhon Ko
Sahara Kar Liya Jaey

Yahan Kaante Bhi Ugtey Han
Yahan Kaliyan Bhi Khilti Han

Inhi Ke Darmiyan Reh Kar
Guzara Kar Liya Jaey


Posted in Sad Poetry SMS

Ab Us Ke Dil Pe Meri Hukumat Nahi Rahi

Be The First To Comment

Ab Us Ke Dil Pe Meri Hukumat Nahi Rahi!
Ab Dastaras Se Ye Bhi Ilaqa Nikal Gaya!

Posted in Sad Poetry

Teri Chahat Wo Karbala Hai Jahan!

Be The First To Comment

Teri Chahat Wo Karbala Hai Jahan!
Har Tamanna Shaheed Hoti Hai!

Posted in Sad Poetry SMS

Saturday, June 23, 2012

Humen Avaaz De Lena

Be The First To Comment

Kabi Jo Ghabra Jao Dunia Ki Vehshaton Sey
Humen Avaaz De Lena Akele Hum Bi Hote Han!

Filed in Sad Poetry SMS

Saturday, June 16, 2012

Us Ke Aane Ki Khabar Sunte Hi!

Be The First To Comment

Us Ke Aane Ki Khabar Sunte Hi Tayyari Ki
Maine Jee Bhar Ke Gulaabon Ki Kharidari Ki

Halat e Hijr Me Filhaal Sukoon Milney Laga
Nasha e Dard Ne Awaz Nahi Bhaari Ki

Warna Ye Logg Mujhe Tum Se Juda Kr Dete
Maine Daanista Mohabbat Me Adakari Ki

Ishq Me Mera Bhi Deewangi Maslak Hai
Maine Iss Waaste Majnu Ki Tarafdari Ki

Phool Khiltey Hi Koi Bichhra Hua Yaad Aya
Maine Khoshi Ke Mousam Me Ashkbari Ki


Filed in Sad Poetry SMS



Thursday, June 14, 2012

Jahaan Bhooli Hui Yaaden!

Be The First To Comment
Jahaan Bhooli Hui Yaaden
Daaman Thaam Lein Dil Ka

Wahan Sy Ajnabi Ban Kar
Guzar Jana Hi Behter Hai...!


Posted in Sad Poetry SMS

 

© 2011 Urdu Poetry Lovers - Designed by Hassan Farooq | Privacy Policy | Sitemap

About Us | Contact Us