Sunday, November 12, 2017

Thehri Thehri Si Tabiyat Mein Rawaani Aai

Be The First To Comment
Thehri Thehri Si Tabiyat Mein Rawaani Aai
Aaj Phir Yaad Mohabbat Ki Kahaani Aai 

Aaj Phir Neend Ko Aankhoon Se Bicharte Dekha 
Aaj Phir Yaad Koi Choat Puraani Aai 

Muddaton Baad Un Pe ChaLa Hamaara Jaado 
Muddaton Baad Humain Baat Banani Aai 

Muddaton Baad Pasheman Huwa Darya Hum Par 
Muddaton Baad Humain Piyaas Chupaani Aai 

Muddaton Baad KhuLi Wusat e Sehraa Hum Par 
Muddaton Baad Humain Khaak Urrani Aai 

Itni Aasani Se Nahi Milti Fun Ki Doalat 
Dhal Gai Umer Tu Ghazlon Pe Jawani Aai

Hum Raat Bohat Roye

Be The First To Comment
hum raat bohat roye bohat aah o faghan ki
dil dard se bojhal ho to phir neend kahan ki

sir zaano pe rakhe hue kya soch rahi ho
kuch baat samajhti ho mohabbat zadgan ki

tum meri taraf daikh k chup ho si gai theen
wo saat e khush waqat nishaat guzran ki

ek din ye samajhte thay k payan e tamanna
ek raat hai mahtaab k ayyam e jawan ki

ab aur hi auqat hai aay jaan e tamanna
hum nala kushan, begunah, ghum zadgan ki

is gher ki khuli chhat pe chamakte hue taaro
kehte ho kabhi baat wahan ja k yahan ki

bargashta hua hum se ye mahtaab to piyaro
bas baat suni raah chala kehkashan ki


Allah kare Meer ka jannat mein makan ho
marhom ne her baat humari hi bayan ki

parhte hain shab o roz isi shakhs ki ghazalen
ghazalen k hikayaat hain hum dil zadgan ki

tum charkh e chhaarum k sataye hue logon
taaraaj karo zindagiyan ehal e jahan ki

acha humen bante hue mitte hue dekho
hum mauj e gurezan hi sahi aab rawan ki

Insha se milo is se na roken ge lekin
is se ye mulaqat nikaali hai kahan ki

mashhor hai her bazam mein is shakhs ka sauda
baaten hain bohat shehar mein badnam miyan ki

aay dosto aay dosto! aay dard naseebo
galiyon mein chalo sair karen shehar e butan ki

hum jayen kisi sim't kisi chawk pe thehren
kahiyo na koi baat kisi sood o ziyan ki

Insha ki ghazal sun lo per ranjor na hona
dewana hai dewane ne ek baat bayan ki

hota hai yehi ishq mein hanjaar sabhi ka
baaten yehi dekhi hain mohabbat zadgan ki

Phir Palat Rahi Hain Sardiyon Ki Suhani Shamain

Be The First To Comment
Phir Palat Rahi Hain Sardiyon Ki Suhani Shamain
Phir Us Ki Yaad Me Jalne K Zamany Aye...

Phir Palat Rahi

Kabhi Kabhi To Wo Aise Rasai Deta Hai

Be The First To Comment
Kabhi Kabhi To Wo Aise Rasai Deta Hai
Wo Sochta Hai To Mujh Ko Sunai Deta Hai...

Kabhi Kabhi To

Saturday, November 11, 2017

Rung Khuleya Meri Wehshat Da Ho Kathe Kuj

Be The First To Comment
Rung Khuleya Meri Wehshat Da, Ho Kathe Kuj Humdard Gaye
O Ro Ro Puchan Hal Mera, Me Khir Khir Hassaan Ki Dassaan...

Rung Khuleya Meri

Suna Hai Jan Lete Ho Suno Ye Jan Deni Hai

Be The First To Comment
Suna Hai Jan Lete Ho, Suno Ye Jan Deni Hai
Suna Hai Mar Dete Ho, Suno Me Marny Aya Hun...

Suna Hai Jan

Hooron Ki Tamanna Nahi Aye Hazrat-E-Waiz

Be The First To Comment
Hooron Ki Tamanna Nahi Aye Hazrat-E-Waiz
Hum Taak Me Hain Jis Ki Wo Parda Nasheen Hai...

Hooron Ki Tamanna

Friday, November 10, 2017

Apne Hathon Se Kar Dia Azad

Be The First To Comment
Apne Hathon Se Kar Dia Azad
Jis Parindy Me Jan Thi Meri...

Apne Hathon Se

Teri yaad roshni hai

Be The First To Comment
Teri yaad roshni hai mera dil chamak raha hai
Tere zikar k golon se mera ghar mehak raha hai

Abhi aas hai Tumhari abhi mein mari nahi hoon
Abhi Saans chal rahi hai abhi dil dharak rahai hai

Ussy ye batao Do ghaz hi zameen ka hai wo malik
kai kothiyan bana k jo bohat behek raha hai

Na chal itna sar utha kar ye hayat muktasir hai
Kahin moat ka farishta teri raha tak raha hai

Tumhi aao to bache ga ye diya mohabbaton ka
Jisay tum jala gaye the wo palak jhapak raha hai

Mere Maseeha mein jee uthungi

Be The First To Comment
Mere Maseeha mein jee uthungi duwain de de dawa se pehle
Hayat mein noor ban k aa ja ghamon ki kali ghata se pehle

Wo bewafa ho gaya hai phir bhi ussi ki yadoon mein ghom rahon gi
Ye kaise bholon k usne mujh se wafa bhi ki hai jafa se pehle

Jo chahte hain madad sabhi se zalil hote hain wo jahan mein
Nawazti hai unhi ko duniya jo mangte hain Khuda se pehle

Watan bachane ka waqat hai ye makaan bachane ki fikar choro
Mere bhi hathon mein de do parcham mere bhozorgo hina se pehle

Khatayen mujh se hoi hai lekin mujhe yaqeen hai tu bakhsh de ga
Main hashar k din pokar lon gi tere karam ko saza se pehle

jo hai naseeb mein wo kham nahi nikalta hai

Be The First To Comment
Jo hai naseeb mein wo kham nahi nikalta hai
Hamare dil se tera ghum nahi nikalta hai

Sabhi ki piyas ko aezaz ye nahi milta
Sabhi ki aeri se Zamzam nahi nikalta hai

Kahan hai aa ja k main ab sakoon se marr to sakun
Tere bagair mere dam nahi nikalta hai

Tum Se Na Kat Saky Ga Andheron Ka Ye Safar

Be The First To Comment
Tum Se Na Kat Saky Ga Andheron Ka Ye Safar
Ab Sham Ho Rahi Hai Mera Hath Thaam Lo...

Tum Se Na

Har Shakhs Mujhe Soorat-E-Akhbar Samajh Kar

Be The First To Comment
Har Shakhs Mujhe Soorat-E-Akhbar Samajh Kar
Safhaat Se Matlab Ki Khabar Kaat Raha Hai...

Har Shakhs Mujhe

Chupky Se Chup Chap Chali Jati Hain

Be The First To Comment
Chupky Se, Chup Chap Chali Jati Hain
Wo Khushiyan Jo Bohat Der Bad Ati Hain...

Submitted By: M. Imtiaz Toor

Wednesday, November 8, 2017

Na Haath Thaam Sake Na Pakarr Sake Daaman

Be The First To Comment
Na Haath Thaam Sake Na Pakarr Sake Daaman

Bahut Qareeb Se Utth Kar Chala Gaya Koi
 

© 2011 Urdu Poetry Lovers - Designed by Hassan Farooq | Privacy Policy | Sitemap

About Us | Contact Us