|
Ayaa Hoon Sang E Wehshat Ke Anbaar Dekh Kar
Khauf Arhaa Hai Sayaa E Deewar Dekh Kar
Aankhen Khuli Rahi Hain Meri, Intazaar Mein
Aaye Na Khwaab Deeda E Bedaar Dekh Kar
Gham Ki Dukaan Khol Ke Bethaa Hua Tha Mai
Aansuu Nikl Pary Hain Kharidaar Dekh Kar
Kya Ilm Tha Ke Phisalney Lagen Ge Mere Qadam
Mai To Chalaa Tha Raah Ko Hamvaar Dekh Kar
Har Koi Paarsa'ai Ki Umda Misaal Tha
Dil Khush Hua Hai Ek GunaahGaar Dekh Kar
Ye Be-Hisi Bhi Waqt E Madad Dekh Li
~*~*~FARAZ~*~*~
Katraa Gayaa Hai YaaR Ko Bhi Yaar Dekh Kar
More in Sad Ghazals

- Khawab Dhoday To Teri Yaad
- Yeh Duniya Ekk Lamhey Mein
- Wo Raabata Nahin, Wo Mohabbat Nahin Rahi!
- Churrao Nazrein Chhudao Daman Badal K Rasta
- Suno Mohabbat Bheek Nahin Hai!
- Tankhwah Le Ke Bhi Khali Haath Rahey!!
- Mohabbat Ka Erada Badal Jana Bhee Mushkil Hai
- Chashm e Tamannaa Bujh Jaayey!
- Zara Kar Zorr Seene Par - Ke Teer e Pur Sitm Nikley
- Kahin be kinar se ratjage
- Kisi ka lams kahan ab nishan chore ga
- Jahan Phoolon Ko Khilna Tha Wahin Khilte To Acha Tha
- Benaam sa ye dard thehar kyon nahin jata
- apna gham bhul gaye teri jafa bhul gaye
- Log Muntazir Rahe K Hum Ko Toot'ta Dekhen
- Aa Kabhi Aa K Dekh
- December Tum Na Jao Na
- Kuch Visal akhir tak Motbar nahi hote
- Best Urdu Poetry: 12 Amazingly Designed Images
- Eid Poetry Urdu 2016: 8 Images To Greet Loved Ones
0 comments:
Post a Comment