Monday, December 19, 2011

Chalo Utho Ke Ab Andaaz e Zamaana He Badal Gaya Hai

Chalo Utho Ke Ab Andaaz e Zamaana He Badal Gaya Hai
Dhoonden Koi Or, Ke Ab Ye Aashyaana He Badal Gaya Hai

Na He Rahi Wo Tehzeeb, Na He Raha Wo Tamaddun
Na He Rahe Wo Kirdar, Ke Ye Fasaana He Badal Gaya Hai

Kisii Ko Bhi Nahin Parwaa Yahaan Kisi Ki
Apne Bhi Badal Gaye Or Baigana Bhi Badal Gaya Hai

Giley Shikwey Larai Jhagrey Hain Chaar Soo
Mohabbat Bi Badal Gai Hai, Mohabbat Ka Jatana Bi Badal Gaya Hai

Magarmachh Ke Aaansu Han Rawaan Har Aankh Mei
Aankhen Bhi Badal Gai Han, Aansu Bahana Bhi Badal Gaya Hai

Doulat He Say Hone Lagaa Hai Pyaar Yaahan
Dil Bhi Badal Gaye, Dil Ka Lagana Bhi Badal Gaya Hai

Matlab Ho To Han Kar Milte Han Logg
Chehre Bhi Badal Gaye Han, Muskurana Bhi Badal Gaya Hai


Filed in Bewafa Dost Poetry

bewafa dost poetry, bewafa poetry, ghazal sms, poetry sms, Sad Ghazals, sad poetry, Urdu Poetry

0 comments:

Post a Comment

 

© 2011 Urdu Poetry Lovers - Designed by Hassan Farooq | Privacy Policy | Sitemap

About Us | Contact Us