Saturday, September 28, 2013

Hawaaen Sard Ho Jaaen ' Ya Lehjay Barf Ho Jaaen

Be The First To Comment
Hawaaen Sard Ho Jaaen
Ya Lehjay Barf Ho Jaaen,

Hum Us Ki Yad Ki Chadar Ko
Khud Pe Taan Letay Hain

Suno Darvaish Logon Ki

Koi Dunya Nahin Hoti

Milay Jo Khaak Rastay Mai
Usi Ko Chhan Letay Hain

Agar Woh Rooth Jata Hay
Hamari Jaan Jaati Hay

Yeh Saansain Jari Rakhnay Ko
Hum Us Ki Maan Letay Hain...!


Read another beautiful poetry
Tum Mangte Phiro Ge



Friday, September 27, 2013

Mohabbat Ka Erada Badal Jana Bhee Mushkil Hai

Be The First To Comment


Mohabbat Ka Erada Badal Jana Bhee Mushkil Hai
Tumhe Khona Bhee Mushkil Hai, Tumhe Pana Bhee Mushkil Hai

Udaasi Terey Chehrey Ki Gawara Bhee Naheen Lekin
Teri Khatir Sitaare Torr Ke Lana Bhee Mushkil Hai

Zara Si Baat Pe Aankhain Betth Jatey Ho
Tumhe Tau Apney Dil Ka Haal Batana Bhee Mushkil Hai


May you like:

Tuesday, September 24, 2013

Chaho To Theher Jana ' Chaho To Guzar Jana

Be The First To Comment
Avaaragi Mei Hum Ney Isko Bhee Hunar Jaana
Iqraar e Wafa Karna Phir Us Sey Mukar Jaana

Jab Khwaab Nahi Koi, Kya Zindagi Kar Karna Hay
Hr Subah Ko Jee Utthna ' Hr Raat Ko Marr Jana

Shab Bhar Ke Thikaane Ko ' Ik Chhat Ke Sivaa Kya Hay
Kya Waqt Pe Ghar Jana ' Kya Dair Se Ghar Jana

Aesa Na Ho Darya Mey Tum Baar e Giraan Thehro
Jb Logg Ziyada Hon Kashti Se Utar Jana

Suqraat Ke Peene Se Kya Mujh Pe Ayaan Hota
Khud Zeher Piya Mai Ne Tab Uska Asar Jana

Jb Bhi Nazar Aao Gay ' Hum Tum Ko Pukarain Gay
Chaho To Theher Jana ' Chaho To Guzar Jana


You may like:
Urdu Poetry on Khamoshi


Sunday, September 22, 2013

Rootha Hua Koi

Be The First To Comment



Rootha Hua Koi Dost Bohat Yaad Aayega

Koi Waqt Guzra Hua Bohat Yaad Aayega

Chhupa Leta Tha Seene Mein Jo Mere Dard Ko

Aaj Fir Koi Bichhda Hua Sitara Yaad Aayega!

Wednesday, September 4, 2013

Keh di jaye har baat

Be The First To Comment



keh di jaye har baat zuban se zaruri toh nahi�
Zindagi guzari hai adhi puri toh nahi..
samjhega dil ki dastan nigahon se�
dur zarur baite hai par dilo mein duri to nahi�. 
=============================================

Chand lamahein jo tere sath

Be The First To Comment

 


chand lamahein jo tere sath guzar jatey hai..
vo zindagi ko or kareeb late hai�
tu sath de ya na de mera zindagi bhar..
hum to isi umeed pe jiye jate hai..!!! 
====================================

Itna kuch khoya

Be The First To Comment
 
 
Itna kuch khoya ki pana na aaya..
Pyar kiya to nibhana na aaya..
aa gaye is dil mein pehli nazar mein vo..
Kasoor humra tha.. jo hume unke dil mein samana na aaya 
=============================================
 

© 2011 Urdu Poetry Lovers - Designed by Hassan Farooq | Privacy Policy | Sitemap

About Us | Contact Us