Sunday, October 29, 2017

Andhere chaaro taraf saayen saayen karne lage

Andhere chaaro taraf saayen saayen karne lage
Charaagh haath utha kar duayein karne lage

Saleeka jin ko sikhaya tha humne chalne ka
Wo log aaj humein daayen baayen karne lage

Lahu-luhaan pada tha zami par ek suraj
Parinde apne paro se hawaayein karne lage

Zami par aa gaye aankhon se toot kar aansu
Buri khabar hai farishtey khatayein karne lage

Tarakki kar gaye bimariyon ke saudagar
Ye sab mareez hain jo ab dawayein karne lage

Ajeeb rang tha majlis ka khoob mehfil thi
Safedposh uthe kaayein kaayein karne lage

Rahat Indori

0 comments:

Post a Comment

 

© 2011 Urdu Poetry Lovers - Designed by Hassan Farooq | Privacy Policy | Sitemap

About Us | Contact Us