|
Meri hasrat k janazy ko uthany waly
Kitny be dard hain ye log zamany waly
Koi apna nahi matlab ki hai duniya sari
Ab kahan milty hain wo yar purany waly
Main dua go hoon sada neendein hon mubarik tujh ko
Hijar ka dard mujhe de k jagany waly
Bas yehi soch k har bar manata hon usay
Lot k aaty nahi rooth k jany waly
Hamary dil main kabhi jhaank k daikho to sahi
Kitny afsurda hain auron ko hansany waly

- Nazar Nazar Main Hi Dewana Bana Dete Hain
- Sainkaron Dilkash Baharain Thin Hamari Muntazir
- Tum Pe Beety Jo Qayamat Tanhai Ki
- Kab Duaaon Ka Mohtaj Hota Hai
- Kabhi Puri Nahi Hoti
- Log Muntazir Rahe K Hum Ko Toot'ta Dekhen
- Aa Kabhi Aa K Dekh
- December Tum Na Jao Na
- Kahin be kinar se ratjage
- Kuch Visal akhir tak Motbar nahi hote
0 comments:
Post a Comment