Tuesday, October 31, 2017
koi to us py qayamat guzar gai ho gi
Lagi thi umer parindon ko ghar banate howe
kisi ne kyon nahi socha shajer giraate howe
main gir gaya kisi khai main larkhrate howe
tu dekhta hi raha mujh ko muskraate howe
ye zindgi thi k dhutkarti rahi mujh ko
main baat kerta raha is se muskraate howe
badan tha choor mera hijar ki mushaqat se
k so gaya tha main khud derd ko sulate howe
koi to us py qayamat guzar gai ho gi
k aap beeti wo rone laga sunaate howe
ajeeb neend main tha khawab gaah e hasti ki
main is jahan se tere us jahan mein jaate howe
kahni goo ke har lafaz main thi jadugari
rula deya tha har shakhas ko hansaate howe
main jal uthata tha tere hi khayal ki lo se
tujhe khayal na aaya mujhe bujhaate howe
na meri chasham e tamanna main jach saki dunya
palat ke dekhta kaise usay main jaate howe
Benaam sa ye dard thehar kyon nahin jata
Benaam sa ye dard thehar kyon nahin jata
jo beet gaya hai woh guzar kyon nahi jata
Sab kuch to hai kya dhondhti rehti hain nigahen
kya baat hai main waqat pe ghar kyon nahin jata
Woh ek hi chehra to nahin saare jahaan mein
jo door hai woh dil se utar kyon nahin jata
Main apni hi uljhi hui raahon ka tamaasha
jate hain jidhar sab main udhar kyon nahin jata
Woh khwaab jo barson se na chehra na badan hai
woh khwaab hawaaon mein bikhar kyon nahin jata
Khoon aankhon ke charaagon mein chhupa lo warna
Khoon aankhon ke charaagon mein chhupa lo warna
Teergi shaher se rukhsat nahin hone wali
Saath chalna hai to talwaar uttha meri tarah
Mujhse buzdil ki himaayat nahin hone wali
Ab k jo faisla hoga wo yahin par hoga
Hum se ab doosri hijrat nahin hone wali
Sunday, October 29, 2017
Raaz jo kuch ho ishaaron mein bata bhi dena
Raaz jo kuch ho ishaaron mein bata bhi dena
Haath jab usse milana to dabaa bhi dena
Wese is khat mein koi baat nahi hai phir bhi
Ahtiyatan isay parh lo to jala bhi dena
Mujhe wo chorr gaya ye kamaal hai uska
Kabhi akele mein milkar jhanjhor dunga use
Jahan jahan se wo toota hai, jorr dunga use
Mujhe wo chorr gaya ye kamaal hai uska
Iraada maine kiya tha ke chor dunga use
Paseene baantta phirta hai har taraf sooraj
Kabhi jo haath laga to nichor dunga use
Bacha ke rakhta hai khud ko wo mujhse sheesha badan
Use ye darr hai ke main tor porr dunga use
Maza chakha ke hi maana hun main bhi duniya ko
Samajh rahi thi ke aise hi chhor dunga use
Ajeeb Uljhan Me Tu Ne Dala Mujhe Bhi Aye Gardish
Ajeeb Uljhan Me Tu Ne Dala Mujhe Bhi Aye Gardish-E-Zamana
Sukoon Milta Nahi Qafas Me Na Raas Ata Hai Aashiyana...
Submitted By: Suhail Mehtab
Submitted By: Suhail Mehtab
To phir yakeen se aage bharam nikal jaye
To phir yakeen se aage bharam nikal jaye
Hawa na ho to charagon ka dum nikal jaye
Hum ahl e dil ko hiqaarat se dekhne wale
Khuda kare teri gardan ka kham nikal jaye
Mujhe to maar hi daale ga khaalipan mera
Jo dil se teri judaai ka gam nikal jaye
Andhere chaaro taraf saayen saayen karne lage
Andhere chaaro taraf saayen saayen karne lage
Charaagh haath utha kar duayein karne lage
Saleeka jin ko sikhaya tha humne chalne ka
Wo log aaj humein daayen baayen karne lage
Lahu-luhaan pada tha zami par ek suraj
Parinde apne paro se hawaayein karne lage
Zami par aa gaye aankhon se toot kar aansu
Buri khabar hai farishtey khatayein karne lage
Tarakki kar gaye bimariyon ke saudagar
Ye sab mareez hain jo ab dawayein karne lage
Ajeeb rang tha majlis ka khoob mehfil thi
Safedposh uthe kaayein kaayein karne lage
Is se pehle ke hawa shor machane lag jaye
Is se pehle ke hawa shor machane lag jaye
Mere Allah meri khaak thikane lag jaye
Ghere rehte hain kai khwaab meri aankho ko
Kaash kuch der mujhe neend bhi aane lag jaye
Apne haathon ko wo patwaar bhi kar sakta hai
Apne haathon ko wo patwaar bhi kar sakta hai
Hausla hai to nadi paar bhi kar sakta hai
Jurm khud karna aur ilzaam kisi par dharna
Ye naya nuskha hai bimaar bhi kar sakta hai
Ek huqumat hai jo inaam bhi de sakti hai
Ek kalandar hai jo inkaar bhi kar sakta hai
Dhundta phirta hai tu der-o-haram mein jisko
Moond le aankh to deedaar bhi kar sakta hai
Jaagte rahiye ki awaaz lagaane wala
Lootne walo ko hoshiyaar bhi kar sakta hai
Jaa k ye keh de koi sholon se chingaari se
Jaa k ye keh de koi sholon se chingaari se
Phool is baar khile hain badi taiyari se
Baadshahon se bhi phenke hue sikke na liye
Humne khairaat bhi maangi hai to khuddari se
Mere khuloos ki gehrayi se nahi milte
Mere khuloos ki gehrayi se nahi milte
Ye jhuthe log hain sachchai se nahi milte
Mohabbaton ka sabak de rahe hain duniya ko
Jo Eid apne sagay bhai se nahi milte
Us Bewafa Ko Kya Hai Zarurat Wafaon Ki
Us Bewafa Ko Kya Hai Zarurat Wafaon Ki
Jis Bewafa K Pas Wafadar Bohat Hon...
Submitted By: Bismil Hameed
Submitted By: Bismil Hameed
Saturday, October 28, 2017
Thursday, October 26, 2017
Jab tak tumhaare haath mere haath mein rahe
Suraj sitaare chaand mere sath me rahe
Jab tak tumhaare haath mere haath mein rahe
Shaakhon se toot jaayein wo patte nahi hai hum
Aandhi se koi keh de ke aukaat mein rahe
Pyaas agar meri bujha de to main jaanu warna
Chaand ek toota hua tukra mere jaam ka hai
Ye mera kaul nahi hazrat e khayyaam ka hai
Hum se pucho ke ghazal maangti hai kitna lahu
Sab samajhte hain ye dhanda bare aaraam ka hai
Ab teri baari hai aayine bacha le apne
Mere haatho mein jo pathhar hai tere naam ka hai
Pyaas agar meri bujha de to main jaanu warna
Tu samandar hai to hoga mere kis kaam ka hai
Wo dor jisse hum aakaash choom sakte the
Puraana karz chukaane mein kharch kar daali
Tamaam umr kamaane mein kharch kar daali
Wo dor jisse hum aakaash choom sakte the
Use patang udaane mein kharch kar daali
Ban ke ek haadsa baazaar mein aa jaye ga
Ban ke ek haadsa baazaar mein aa jaye ga
Jo nahin hoga wo akhbaar mein aa jaye ga
Chor uchakkon ki karo qadar ke maloom nahin
Kon kab kon si sarkaar mein aa jaye ga
Apne saahil se ye angaare hata lo Warna
saara paani meri talwaar mein aa jayega
Door hum kitne dino se hain kabhi gaur kiya
Rahat Indori Urdu Hindi Poetry Archives Collection of Rahat Indori Shayari and Ghazals
Jaagne ki bhi jagaane ki bhi aadat ho jaaye
Kaash tujh ko kisi shayar se mohabbat ho jaaye
Door hum kitne dino se hain kabhi gaur kiya
Phir na kehna jo amaanat mein khayaanat ho jaaye
Jugnuon tum ko naye chaand ugaane honge
Is se pehle ke andheron ki huqumat ho jaaye
Ukhr parte hain meri qabr ke patthar har din
Tum kisi din jo chali aao marammat ho jaaye
Kuch aur kaam use yaad hi nahi shayad
Ghazals of Rahat Indori Rahat Indori Poetry Poems Ghazals Love Sad
Mera zameer mera aitbaar bolta hai
Meri zabaan se parvardigaar bolta hai
Teri zabaan katarna bahut zaruri hai
Tujhe maraz hai ke tu baar-baar bolta hai
Kuch aur kaam use yaad hi nahi shayad
Magar wo jhooth bahut shaandaar bolta hai
Khuda ne uske labon par mithaas rakh di hai
Wo bolta hai to jaise sitaar bolta hai
Wednesday, October 25, 2017
Sula chuki thi ye duniya thapak thapak k mujhe
Rahat Indori Shayari Urdu Shayari Hindi Shayari Sher o Shaeri SMS
Sula chuki thi ye duniya thapak thapak k mujhe
Jagaa diya teri paazeb ne khanak k mujhe
Koi bataaye main iska kya ilaaj karun
Pareshaan karta hai ye dil dhadak dhadak ke mujhe
Taalluqaat mein kaise daraar parti hai
Bata diya kisi kamzarf ne chalak ke mujhe
Bahut si nazrein hamaari taraf hain mehfil mein
Ishaara kar diya usne zara sarak ke mujhe
Aag ke paas kabhi mom ko laakar dekhun
Collection of Rahat Indori Urdu Shayari and Hindi Ghazals
Aag ke paas kabhi mom ko laakar dekhun
Ho ijaazat to tujhe haath laga kar dekhun
Dil ka mandir bara viraan nazar aata hai
Sochta hoon teri tasveer laga kar dekhun
Jo lab sile the wo elaan hone waale hain
Rahat Indori Urdu Poet Ghazals Shayari Lyrics on Politics Rahat Indori
Jo lab sile the wo elaan hone waale hain
Teri tabaahi ka saamaan hone waale hain
Hai mashvara ke zalaalat se baaz aa warna
Juloos jung ka maidaan hone waale hain
Abhi ganimat hai sabar mera
rahat indori shayari lyrics rahat indori poetry books rahat indori shayari in urdu pdf rahat indori shayari on politics rahat indori 2016 rahat indori books rahat indori videos rahat indori books pdf
Abhi ganimat hai sabar mera
abhi labalab bhara nahi hoon
Wo mujh ko murda samajh raha hai
Usse kaho main mara nahi hoon
Wo keh raha hai ke kuch dino mein
Mita ke rakh dunga nasal teri
Hai uski aadat dara raha hai
Hai meri fitrat dara nahi hoon
Assi Nazuk Dil De Lok Han Sada Dil Na Yar
Assi Nazuk Dil De Lok Han Sada Dil Na Yar Dukhaya Kar
Na Jhooty Wady Kita Kar Na Jhootiyan Qasman Khaya Kar
Tenu Kinni Wari Akheya Ay Menu Wal Wal Na Azmaya Kar
Teri Yad De Vich Me Mar Ja Saa Menu Enna Yad Na Aya Kar...
Wo Markazi Kirdar Hai Kahani Ka
Wo Markazi Kirdar Hai Kahani Ka Lekin
Kehta Hai Kahani Me Mera Naam Na Aye...
Blogger: Waqas Ali
Blogger: Waqas Ali
Tuesday, October 24, 2017
Ek Mukhtasir Si Waja Hai Mere Jhuk Kar Milne
Ek Mukhtasir Si Waja Hai Mere Jhuk Kar Milne Ki
Matti Se Bana Hun Gharoor Acha Nahi Lagta Mujh Par...
Submitted By: Hafiz Umar
Submitted By: Hafiz Umar
Dil Se Nikal Dijiye Ehsas-E-Arzoo
Dil Se Nikal Dijiye Ehsas-E-Arzoo
Mar Jaiye Par Kisi Ki Tamanna Na Kijiye...
Submitted By: Suhail Mehtab
Submitted By: Suhail Mehtab
Thursday, October 19, 2017
Mila Kar Khaak Me Mujh Ko Wo Kuch Is Ada
Mila Kar Khaak Me Mujh Ko Wo Kuch Is Ada Se Bola
Khilona Tha Ye Matti Ka, Kahan Rakhne K Qabil Tha...
Wednesday, October 18, 2017
Khushk Honton Se Hua Karti Hain Meethi
Khushk Honton Se Hua Karti Hain Meethi Batain 'Mohsin'
Piyaas Bujh Jaye to Lehje Bhi Badal Jaty Hain...
Blogger: Waqas Ali
Blogger: Waqas Ali
Ishq mein jeet ke aane ke liye kaafi hoon
Ishq mein jeet ke aane ke liye kaafi hoon
Maine akela hi zamaane ke liye kaafi hoon
Har haqeeqat ko meri khwaab samajhne waale
Main teri neend udaane ke liye kaafi hoon
Mere bachchon mujhe dil khol ke tum kharch karo
Main akela hi kamaane ke liye kaafi hoon
Ek akhbaar hoon aukaat hi kya meri
Magar sheher mein aag lagaane ke liye kaafi hoon
Teri har baat mohabbat mein gawaara kar ke
Teri har baat mohabbat mein gawaara kar ke
Dil ke baazaar mein baithe hain khasaara kar ke
Ek chingaari nazar aayi thi basti mein use
Wo alag hat gaya aandhi ko ishaara kar ke
Aasmaano ki taraf Penk diya hai maine
Chand mitti ke charaagon ko sitaara kar ke
Main wo dariya hun ke har boond bhanwar hai jiski
Tumne acha hi kiya mujhse kinaara kar ke
Aate jaate hain kai rang mere chehre par
Log lete hain maza zikr tumhara kar ke
Muntazir hun ke sitaaro ki zara aankh lage
Chaand ko chhat pe bula lunga ishara kar ke
Jo jurm karte hain itne bure nahi hote
Nayi hawaon ki sohbat bigaar deti hai
Kabutaron ko khuli chhat bigaar deti hai
Jo jurm karte hain itne bure nahi hote
Saza na deke adaalat bigaar deti hai
Milaana chaha hai insaan ko jab bhi insaan se
To saare kaam siyasat bigaar deti hai
Hamaare peer Taqi Mir ne kaha tha kabhi
Miyan ye aashiqui izzat bigaar deti hai
Mere Hujre mein Nahi aur kahin per rakh do
Mere Hujre mein Nahi aur kahin per rakh do
Aasman laye ho. Le aao Zameen par rakh do
Ab kahan dhundne jaogey humarey qaatil
Ap to qaatl ka ilzaam humi par rakh do
Usne kuch Taak pe tutey diye rakhe hain
Chaand Taaron ko le jaa kar wahin par rakha do
Kashti tera naseeb chamakdar kar dia
Is paar k thaperon ne us par dia
Afwaah thi ki meri tabiyat kharab hai
Logon ne puch puch k bimar kar dia
Do gaaz sahi magar ye meri milkiyat to hai
Ae maut tune mujhe zamidaar kar dia
Sari Raat Ki Jagi Aankhen College Me Kya
Sari Raat Ki Jagi Aankhen College Me Kya Parhti Hongi
Khul Na Jaye Raz-E-Dil, Har Waqt Is Se Darti Hongi...
Blogger: Waqas Ali
Blogger: Waqas Ali
Log Karte Hain Faqat Waqt Guzaari Pagal
Log Karte Hain Faqat Waqt Guzaari Pagal
Koi Karta Hi Nahi Baat Humari Pagal
Usne eik bar kaha koi nahi tum jaisa
Khud ko bhi lagne lagi tab se mein pyari Pagal
Tu bhi hans hans k kia karta tha batain aur main
Teri baton mein chali aai bichari Pagal
Eik muddat se teri raah mein aa bethi hai
Ishq mein tere hoi rajkomari Pagal
Yon nahi hai k srif neen howe hain mere
Dekh kar tujh ko hoi sari ki sari Pagal
Usne pocha k meri hona to itna boli
Haan Tumhari. Main Tumhari. Main Tumhari Pagal.
Main Rabab is se zada bhi tujhe kia don ab
Zindagi hi jo tere naam py wari Pagal
Chalo usi se kahain dil ka hal jo bhi ho
Chalo usi se kahain dil ka hal jo bhi ho
woh chara gar to hai us ka khyal jo bhi ho
usi k dard se milte hain silslay jan k
usi k naam laga do milal jo bhi ho
maray na haar k hum qais o kohkan ki tarah
ab ashqi mein humari misal jo bhi ho
yeh rah guzar pe jo shamain damkti jati hain
usi ka qamat e zaiba hai chaal jo bhi ho
faraz is ne wafa ki k bewafai ki
jawab deh to humi hain sawal jo bhi ho
Humare Baad Bhi Rounaq Rahegi Maqtal Mein
Mata e Shaam e Safar Bastiyon Mein Chhor Aaye
Bujhe Charaagh Hum Apne Gharon Mein Chhor Aaye
Ghire Hain Lashkar e Aada Mein Ab Ye Sochte Hain
Hum Apne Teer Toh Apni Safoon Mein Chhor Aaye
Hum Apni Darbadari Ke Mushahidey Aksar
Naseehaton Ki Tarah Kamsino Mein Chhor Aaye
Bichhar Ke Tujh se Chale Hum Toh Ab Ke Youn Bhi Hua
Ki Teri Yaad Kahin Raaston Mein Chhor Aaye
Hawa Hi Din Mein Parinde Udaaye Phirti Hai
Hawa Hi Phir Se Unhen Ghonslon Mein Chhor Aaye
Humare Baad Bhi Rounaq Rahegi Maqtal Mein
Hum Ahl e Dil Ko Bare Hoslon Mein Chhor Aaye
Urenge Kya Woh Parinde Jo Apne Rizq Samait
Safar Ka Shauq Bhi Toote Paron Mein Chhor Aaye
Sada Sukhi Rahein Chehre Woh Hum Jinhe Mohsin
Bujhe Gharon ki Khuli Khirkiyon Mein Chhor Aaye
Buhat Aziz Tha Shayad Wo Iss Liye Mohsin
Biyaan Har Kisi Se Hijr o Wisal Karte Ho
Kyun Apne Sheher Mein Jina Muhaal Karte Ho
Bichar K Bhala Mile Hain Musafir Bhi
Kyun Apne Ap Ko Yun Hi Nidhal Karte Ho
Suna Hai Wo Bhi Tumhe Pochta Hai Asey Hi
Tum Us K Bare Mein Jase Sawal Karte Ho
Wo Aashnai Usey Yaad Hi Naa Ho Shayad
Wo Jis K Naam Pe Sab Mah o Saal Karte Ho
Buhat Aziz Tha Shayad Wo Iss Liye Mohsin
Bicharne Wale Ka Ab Tak Milal Karte Ho
Rutha To Shehar e Khwab Ko Gharat Bhi Kar Gaya
Rutha To Shehar e Khwab Ko Gharat Bhi Kar Gaya
Phr Muskara K Taza Sharrarat Bhi Kar Gaya
Shayad Ussay Aziz Thin Aankhain Meri Buhat
Wo Mere Naam Apni Bassarat Bhi Kar Gaya
Mun Zoor Aandhiyon Ki Hathaile Pe Ik Charagh
Paida Mere Lahu Mein Harrarat Bhi Kar Gaya
Bosida Badban Ka Tukra Hawa K Sath
Tofaan Mein Kashtiyon Ki Safarish Bhi Kar Gaya
Dil Ka Nagar Ujarnay Wala Huner Shanas
Tameer Hoslon Ki Amarat Bhi Kar Gaya
Sab Ahl e Shehar Uthatay Thy Jis Pe Ungliyan
Wo Shehar Bhar Ko Waja e Zayarat Bhi Kar Gaya
Mohsin Ye Dil K Us Se Bicharta Na Tha Kabhi
Aaj Us Ko Bholnay Ki Jissarat Bhi Kar Gaya
apna gham bhul gaye teri jafa bhul gaye
apna gham bhul gaye teri jafa bhul gaye
hum to har baat mohabbat k siwa bhul gaye
hum akele hi nahin pyaar ke deewane sanam
aap bhi nazrein jhukane ki ada bhul gaye
ab to socha hain ke daaman hi tera thamenge
haath jab humne uthaye hain dua bhul gaye
shukr samjho ya ise apni shikayat samjho
tumne wo dard diya hain ke dawa bhul gaye
Tuesday, October 17, 2017
Usne qad kaath nikala hai zamane mein bohat
World of Urdu Poetry Shairy Urdu Poetry Urdu Shayari urdu shayari sms sad poetry in urdu sms short urdu love poetry poetry sms in urdu romantic urdu poetry sms text messages latest urdu poetry love poetry urdu sms sms in urdu
Usne qad kaath nikala hai zamane mein bohat
Wo magar soch ka bona hai yahi rona hai
Subscribe to:
Posts (Atom)