Sunday, November 19, 2017

Kya dukh hai samandar ko bata bhi nahi sakta

Kya dukh hai samandar ko bata bhi nahi sakta
Aansoo ki tarah aankh tak aa bhi nahi sakta

Tu chor raha hai to khata isme teri kya
Har shakhs mera saath nibha bhi nahi sakta

Pyase rahe jaate hain zamane ke sawalaat
kis k liye zinda hoon bata bhi nahi sakta

Ghar dhoondh rahe hain mera raaton ke pujari
MAin hoon ki charaagon ko bhujha bhi nahi sakta

Waise to ek aansoo hi bahaa ke mujhe le jaaye
Aese koi toofan hila bhi nahi sakta

Waseem Barelvi

0 comments:

Post a Comment

 

© 2011 Urdu Poetry Lovers - Designed by Hassan Farooq | Privacy Policy | Sitemap

About Us | Contact Us